Zindan me Abid Se Yeh Kehti Hai Sakina(s.a)
- Mir Nabi Hassan (2025)
Bhayya Mere Bhayya x 4
Haaye..
Zindan me Abid(a.s) se yeh Kehti hai Sakina(s.a)..
Dafnana mujhe narm zameen dekh ke bhayya..
Dushwaar hai ek pal mera iss Deher me Jeena..
Dafnana mujhe Narm zameen dekh k bhayya.. x 2
1) Lagta hai k marjayegi Zindaa.n me sakina(s.a)
Bhayya mujhe tum Le Chalo Jaldi se Madina..
Waa.n dhoom se tum mere janaze ko uthana.
2) Hai Gosht Juda Haddi se yeh kaise batayen..
Aati hai haddiyon se chatakne ki sadayen ..
Hai maut Qaree.n mujh se bohot ay mere bhayya..
3) Mar Jaaou.n agar qaid e Museebat me mai ghutt kar...
Maadar ko meri dena tasalli ay biradar...
Zindaan me hi tum meri turbat ko banana ..
4) Zaalim jo kafan de usey mat Lena khudara..
Mere isi kurte ko kafan mera banana..
Haathoan pe janaze ko mere apne uthana ..
5) Abid se Sakina yahi Karti thi wasiyat ..
Ro ro ke bayan karti thi woh apni musibat..
Bhayya yeh wasiyat meri maadar se na kehna..
6) Jab mar gayi zindaan me Sarwar ki yateema...
Saidaniyon me shor utha haaye sakina...
Lab par tha tere aaqri dum Tak yahi Nouha...
7) ZEESHAN bayaa.n Kaise kare teri museebat...
Padhta hai NABI Nouha toh barpa hai qayamat...
Sunkar k Azadaroa.n ne Peeta sar o seena..