Mere Naseeb Main Karbala

- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)


Bohat udaas hoon aur dil tarap raha hai mera
Badi tamanna thi dekhun ga aapka Roza
Main dekhta raha sab ja rahe thay aye Maula (a.s)
Kyun is baras bhi nahin ja saka main Karbobala

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 3
Ghulam aap se ab tak mila nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Main maatami hoon, bula lein mujhe bhi Roze par
Lahu bahaaya hai apne watan mein reh ke magar
Haram mein aap ke pursa diya nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Main chal raha hoon julooson mein Arbaeen ke din
Hai yeh bhi aap ke hi ishq ka safar lekin
Najaf se Karbala paidal chala nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Chhupa rakhi hai ziarat ki aarzu mann mein
Bohat ghareeb hoon kuch bhi nahin hai daaman mein
Siwa tumhaare kisi se kaha nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Dikha dein mojiza ek baar Karbala aaon
Ya main bhi Sughra (s.a) ki tarah watan mein mar jaaon
Aur intezaar ka ab hai hausla nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Haram mein aath Muharram alam uthana hai
Maqaam-e-Akbar (a.s) o Asghar (a.s) bhi mujhko jaana hai
Main khaima gaah bhi ab tak gaya nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Bula lo, waasta Ghazi (a.s) ke zakhmi chehre ka
Zameen pe chehre ke bal Zeen se jis tarah woh gira
Kata ke haath koi bhi gira nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Yeh zaireen se maine suna hai rote hue
Hussain (a.s) aap jahan teen roz pyase rahe
Wahan unhein koi pyasa dikha nahin Maula (a.s)

Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2

Hai intezaar mein Zeeshan Abidi kab se
Habib (a.s) se kahein Aashur par bula lein mujhe
Raza ka naam bhi ab tak likha nahin Maula (a.s)