Wa Mohammada Kushta Shud Hussain

- Rizwan Mirza (2011)


Wa mohammada kushta shud hussain 

1. Jab naariyo ne aa phuki haram Sara 
Ek bacchi mehlaka Ba haalate tawa'n
Nikli barehna paa Daman tha jal raha 
Ro ro ke kehti thi mara gaya hussain

2. Dunya me momino jo jo sitam hue
Aale nabi pe wo aakr khatam hue 
Batlaao momino ye zulm Kam hue
Duniya hai chain se maragya hussain

3. Ek khwahare hussain hai zainab e hazi 
Aai hai laash par ba haalate faqir 
Ho kar barehna sar ba haalate ghareeb 
Kehti kaha gaya bhai Mera hussain

4. Jab shahedeen pe shamsheer chal gai
Rota tha aasmaan roi zameen bhi
Pursa rasul ko deta tha har nabi
Jibreel ne kaha mara gaya hussain

5. Zehra ba chashme nam sar apna peet kar
Ro ro ke kehti thi mara gaya pisar
Haaye mai lut gai ujda hai mera ghar
Naazo ka mar gaya pala mera hussain

6. Haa ahlebait ko jab kar chuke aseer
Galiyo me shaam ki bahalate faqir
Aage the ahlebait piche the sab shaheed
Has has ke kehte mara gaya hussain

7. Bazar e shaam me beti rasul ki
Dil apna thaam kar roti hi reh gai
Hoti thi sang ki barsaat jis ghadhi
Aakhon me aashk the lab par tha ya hussain

8. Sajjad ko suku'n kis tarah aaega
Aakho'n se khoone dil abid bahaega
Manzar ye shaam ka kaise bhulaae ga
Kya kya sitam sahe beta Tera hussain