Maae Karbala Ki Maae

- Shabana Sunasara (Kanodar) (2024)


Jab huwi mansha khaliq ki
Karbal ko arsh banaaye
Likhe baad me naam bahattar ke
Rab ne likha pehla maae

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Beto ki laasho ke tukde
Haye dhoondti hai sehra mein

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Haaye Maa... Akbar ki maa...

1. Malik e sabr se ye roke Layla ne kaha
Izn gar ho aaka
Seenae Akbar, se hum bhi
Barchi ka phal khichwaaye

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Haaye Maa... Qasim ki maa...

2. Boli Qasim ki ye maa mujhpe ehsaan ye kar
Ladte rehna beta
Tere tukde mutabik, badhti hai
Mere maula Hussain ki saanse

Maae Karbala Ki Maae (×2)

3. Jab wo qaidi hoke, haaye maqtal se chale
Bain the Zainab ke
Baccho ki laashe, na dekhe
Saanse na kahi rukjaaye

Maae Karbala Ki Maae (×2)

4. Kehti hai Zainab ye aakhe kholo Sajjad
Ghash na aajaaye kahi
Shaam e ghareeba, mein beta
Hum sabko kaise sambhaale

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Haaye Maa... Ghazi ki maa...

5. Bain Kulsoom ke the maine paala tha tujhe
Apne bete ki tarha
Mere sar se rida bhi, utri hai
Jab kat gayi teri baahein

OR

Bain Kulsoom ke the apne bete ki tarha
Ghazi paalaa tha tujhe
Mere sar se rida bhi, utri hai
Jab kat gayi teri baahein

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Haaye Maa... Asghar ki maa...

6. Neze pe Asghar ko dekhke boli Rabaab
Gar na qaidi hote
Sar neze se tera, laane mein
Hum der kabhi na lagaate

OR

Dekhke neze pe sar ropadi Umme Rabaab
Mere beta Asghar
Haanth bandhe hai, rassi se
Sar kaise tera utaare

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Haaye Maa... Hussain ki maa/ Sarwar ki maa

7. Shimr ke khanjar ke vaar Zehra roke
Haath gardan pe tere
Chakiya pees ke, paala tujhe
Kaise haatho ko hataaye

Maae Karbala Ki Maae (×2)

Ya... Mahdi

8. Chauda sadiya hogayi Fatima ki hai sadaa
Al Ajal ya Mahdi
Tera rasta takti, hai beta
Ye sab Karbal ki maae

Maae Karbala Ki Maae (×2)