Abid E Bimar

- Meraj Hallauri (2023)


Taoq hai zanjeer hai aur gardane bimaar hai,
Sar khule hai maayen bahne aur shaam ka baazar hai..

Aabide bimaar hai aur shaam ka baazar,
Rasta purkhaar hai aur shaam ka baazar..

1) Chin gyi har bibi k sar se jo ridayen,
Saiyyade sajjad ko manzar ye rulaye,
Majmae aghiyaar hai aur shaam ka baazar.. 

2) Kaisi museebat hai ye aur kaisa sama hai,
Dushmane sadat hua sara jahan hai,
Zulm ka ambaar hai aur shaam ka baazar..

3) Har ghadi har lamha nayi ek museebat,
Taoq ki eeza hai to durron ki aziyat,
Zulm ki sarkaar hai aur shaam ka baazar..

4) Ghazi alamdaar ka ab kya hai sahara,
Suntey hai dariya pe gya sheer hai mara,
Kaun madadgaar hai aur shaam ka baazar..

5) Maula mera q na bhala ashq bahaye,
Kaisey tamacho se sakeena ko bachaye,
Khud hi giraftaar hai aur shaam ka baazar..

6) Us pe muqaddar ne sitam kaisey hai dhaaye,
Baba ne jiske hai kai qaidi churaye,
Aaj vo laachar hai aur shaam ka baazar..

7) Dhoop ki shiddat me abhi jalna padega,
Paaon me chaley hai magar chalna padega,
Chalna bhi dushwaar hai aur shaam ka baazar..

8) Kis tarah phuphiyon k liye banaye,
Sharm se  bimaar kahin marr hi na jaaye,
Zehra ka gharbaar hai aur shaam ka baazar..

9) Arsh vo meraj padho zabt ka nauha,
Uske liye ashq bahao k jo maula,
Khuld ka sardaar hai aur shaam ka baazar..