Mera Abbas Kaha'n Hai

- Zaheer Abbas Jafri (2024)


Mehmil Na Amari Na Mere Sarpe Rida Hai
Mera Abbas A.S Kaha’n Hai
Har Simt Tamashai Hain Bazare Jafa Hai
Mera Abbas A.S Kaha’n Hai

1) Sajjad S.A Ki Aankhen Hain Masaib Ka Samanadar
Faryad Wo Karta Hai Sanbhale Hui Langar
Maa Behne Fupi Aayi Hain Balwe Me Khule Sar
Bimar Tadpata Hai Mere Labpe Buka Hai

2) Zakhmo'n Se Badan Chhur Ghamon Se He Jigar Chak
Roti Hai Zami Mujhpe Buka Karte Hain Aflaq
Hathon Me Rasan Dil Me Chuban Ser Pe Mere Khak
Kis Se Karun Faryad Mera Kon Yanha Hai

3) Me Uski Wafaon Ki Qasam Qasam Khati Hun Fizza
Jab Ghar Se Chali Thi To Sawar Usne Kiya Tha
Kiyun Chhod Gaya Mujhko Sitamgaro'n Me
Tanha
Fizza Me Tadapti Hun Kaho Tumko Pata Hai

4) Me Ghar Se Nikalti Thi Wo Kehta Tha Ae Logon
Bazar Karo Band Nigahon Ko Jhukalo
Shezadiyan Is Simt Hai Is Simt Na Dekho
Ab Mere Liye Shaam Ka Bazar Saja Hai

5) Majburi Ye Sadat Pe Haste Hain Sitamgar
Sajjad A.S Jigar Tham Ke Rote Hain Tadp Kar
Dekha Nahi Jata Meri Aankhon Se Ye Manzar
Naize Pe Sare Shah Bhi Ye Soch Raha Hai

6) Chehre Pe Pade Baal Hataungi Me Kaise
Rote Hain Mujhe Dekh Ke Sab Sham Ke Raste
Hai Kon Rida Aan Ke Jo Mujhko Udha De
Ye Soch Ke Ab Gham Se Jigar Fatne Laga Hai

7) Matam Hai Mera Kaam Abhi Ashk Bahana
Baqi Hai Abhi Sham Ke Bazar Me Jana
Dekhega Mujhe Kal Bhi Wanha Sara Zamana
Is Gham Ke Taswwur Se Badan Kanp Raha Hai

8) Dil Karta Hai Faryad Aseeri Ke Sitam Par
Pardes Me Uftad Ki Had Ho Gai Hum Par
Haste Hai Laeen Dhake Sitam Aehle Haram Par
Is Sham Ke Bazar Me Jeena Bhi Saza Hai

9) Safdar Me Likhun Kaise Qayamat Ka Wo Manzar
Jab Sham Ke Bazar Me Zainab S.A Ki Khule Sar
Padti Thi Nazar Naizon Pe Kehti Thi Tadap Kar
Naizon Pe Shahidon Ke Saro'n Ko Jo Rajha Hai