Maar gaya baba
- Shahid Baltistani (2025)
Haay Baba
Maar Gaya Baba
Baba
Maar Gaya Baba Teri Zainab Ko
Abbas Ka Marna Maar Gaya - 2
Bin Baazu Ke, Bin Baazu Ke Wo Ghazi Ka
Ghoday Se Girna Maar Gaya,
Maar Gaya Baba Teri Zainab Ko
Abbas Ka Marna Maar Gaya - 2
1. Jab Khayme Mein Aaye Shahe Umam
Haathon Mein Tha Bas Ghazi Ka Alam,
Abbas Nahin, Abbas Nahin Ab Aayega
Bhai Ka Yeh Kehna Maar Gaya
2. Main Sher Ke Jaise Bhai Ka
Pehchaan Nahin Paayi Laasha
Qasim Ki Tarah, Qasim Ki Tarah Se Ghazi Ka
Tukdon Mein Bikharna Maar Gaya
3. Jab Aankh Se Teer Nikaala Tha,
Main Dekh Rahi Thi Khayme Se
Mere Ghazi Ka, Mere Ghazi Ka Khoon Sarwar Ke
Haathon Se Tapakna Maar Gaya
4. Haay Baba Haay Baba
Yeh Shaam Ke Zalim To Apne Ghodon Ko Pilaate
Hain Paani, Haay Baba
Yeh Shaam Ke Zalim To Apne Ghodon Ko Pilaate
Paani
Haathon Mein Liye, Haathon Mein Liye Khaali Quze
Bachon Ka Bilakhna Maar Gaya
5. Jab Se Yeh Suna Hai Ke Pyasa
Sakka-E-Sakina Maara Gaya, Sakka-E-Sakina Maara Gaya
Ab Paani Nahin, Ab Paani Nahin Mil Paayega
Asgar Ka Samajhna Maar Gaya
6. Zalim Ne Chadhaya Tha Ran Mein
Jis Neze Par Abbas Ka Sar
Us Neze Se, Us Neze Se Baba Meri
Chadar Ka Utarna Maar Gaya
7. Rahwar Pe Hokar Bhi Jiske
Khat Paaon Zameen Par Khenchte The,
Us Bhai Ka, Us Bhai Ka Asgar Jaise
Turbat Mein Simatna Maar Gaya
8. Maqtal Mein Bohot Dhoonda Usne
Nasha Na Mila, Do Haath Mile
Un Haathon Se, Un Haathon Se Meri Bachi Ka
Roro Ke Lipatna Maar Gaya
9. Zeeshan Kaha Yeh Zainab Ne
Jab Sheh Pe Chali, Tera(13) Zarbe
Ghazi Ko Sadaaye, Ghazi Ko Sadaaye Dedekar
Bhai Ka Tadapna Maar Gaya