Baba Ke Janaze Ko Beton Ne Uthaya Hai
- Mir Shah Rizwan (2025)
Rote Huye Zainab Ko Fizza Ne Hataya Hai,
Baba Ke Janaze Ko Beton Ne Uthaya Hai..
1) Sar Peet Ke Rote The Kohraam Tha Ek Barpa,
Mara Gaya Sajde Men Shabbir Ka Hai Baba,
Zainab Ne Kaha Baba Mar Jaye Gi Ye Beti,
Kiya Wakht Musibat Ka Sadat Pe Aya Hai..
2) Jab Ghar Men Ali Aye To Khoon Tha Bas Jaari,
Tha Zakhm Bahot Gahra Chalne Men Thi Dushwari,
Wo Zarb Lagi Sar Ab Khoon Nahin Rukata,
Rote Huye Bachchon Ko Sine Se Lagaya Hai..
3) Amma Tere Jane Se Baba Na Kabhi Soye,
Bas Kah Ke Sada Zahra Baba Hain Sada Roye,
Sarwar Ne Kaha Amma Ji Paon Ga Mai Kaise,
Baba Ko Sitamgar Ne Wo Zakhm Lagaya Hai..
4) Hai Zaher Ki Shiddat Yun Din Raat Tadapte Hain,
Hasrat Bhari Nazron Se Bas Bachchon Ko Takte Hain,
Bachche Na Mere Dekhen Jo Zakhm Ki Halat Hai,
Rote Huye Bachchon Se Har Dard Chipaya Hai..
5) Hai Zakh Laga Aisa Ab Chain Nahin Milta,
Zainab Pa Nazar Pahuchi To Rone Lage Maula,
Sab Rote The Bas Ghar Men Kohraam Tha Ek Barpa,
Jarrah Ko Logon Ne Ro Ro Ke Bulaya Hai..
6) Bhai Pe Nigahe Hain Roti Hai Faqat Zainab,
Gash Kha Ke Giri Jati Hain Khaak Pe Kiu Zainab,
Zainab Ne Kaha Baba Abbas Mera Hoga,
Na Jane Kiya Zainab Ko Maula Ne Bataya Hai..
7) Dar Jalta Giraya Hia Pahlo Pa Bhi Amma Ke,
Baba Ko Kiya Zakhmin Fir Kufe Men Mummat Ne,
Jo Zakhmn Hain Es Dil Par Kis Tarha Dikhaon Main,
Nana Teri Ummat Ne Fir Ham Ko Rulaya Hai..
8) Wo Jata Hai Duniya Se Tha Sab Ka Masiha Jo,
Ye Baap Ki Maiyat Hai Bachchon Zara Kandha Do,
Tha Ahle Falak Men Bhi Rizwan Bapa Mahshar,
Ro Ro Ke Farishton Ne Maiyat Ko Uthaya Hai..