Ali marey gaye hai

- Turab Ali (2025)


Koi Zainab ko batlaa dein ye Jaa kar Ali marey gaye hain,
Lagi hai Zarb ik Sajdey mein Sar par Ali marey gaye hain..

(1) Jaha'n Masroof Masjid mein Ali they Ibadat mein Khuda ki,
Laee'n ne aa ke yu'n Shamsheer un ke Sar-e-Aqdas pe Maari,
Khuda ke ghar mein Damaad-e-Payambar Ali marey gaye hain..

(2) Sar-e-Arshe Baree Matam bapa hai Wasi-e-Mustafa ka,
Ali-e-Murtaza ke Sar se jis dam Ugalta Khoon dekha,
Sadaa Jibreel ne di Aasma'n par Ali marey gaye hain..

(3) Fiza maghmoom hai Bait-e-Khuda ki Qayamat ka Sama'n hai,
Ali ke Sog mei'n Masroof-e-Maatam Zameen-o-Aasma'n hai,
Bukaa kartey hain ye Mehrab-o-Mimbar Ali marey gaye hain..

(4) Merey baba abhi kuch deir pehley Hamarey darmiya'n they,
Kaha Kulsoom ne Baba ki Khushbu abhi bhi aa rahi hai,
Yaqee'n mujh ko bhala Aayega kyu'n Kar Ali marey gaye hain..

(5) Janazey ke Sirhaney Rooh e Zahra sada ye de rahi hai,
Koi to aa ke bachho ko sambhaley Musibat ki ghadi hai,
Yateemi chha gayi hai unke sar par Ali marey gaye hain..

(6) Janaza utha raha hai murtaza ka Sahaba Ghamzada hai,
Shikasta sar ki janib tak ke ghazi musalsal ro raha hai,
Bacha paaya na main Baba ko kyu'n kar Ali marey gaye hain..

(7) Yateeman e Ali se eyk Saail ye rokar keh raha tha,
Mujhey khana khilaney teen din se mera moula na aaya,
Ye boley us ghadi Shabbir-o-Shabbar Ali marey gaye hain..

(8) Ali ke baad kuch din tak ye Haalat rahi hai Faiz unki,
Kisine Khairiyat malum ki hai merey Moula se jab bhi,
Hasan ye Ro ke farmatey they Aksar Ali marey gaye hain..