Bano (sa) Ki Fughan

- Hasnain Abidi (2022)


Bano(sa)ki fughaan thi mere Dilbar Ali Asghar(as),
Marne se tere ghar me hai mehshar Ali Asghar(as).

1. Ghurbat ko teri dekh ke maidan e wigha me,
Rone laga baatil ka bhi lashkar Ali Asghar(as).

2. Jab halq chhida teer e jafa kaar se tera,
Rone lage sar peet ke Sarwar(as)Ali Asghar(as).

3. Qaimey ki taraf badhte hain ruk jate hain Sarwar(as),
Nanhi si teri laash utha kar Ali Asghar(as).

4. Tha teer e sitam se hi gala pehle Jo zaqmi,
Phir us pa chala zulm ka khanjar Ali Asghar(as).

5. Khoon rota raha dil ye mera sonch ke har dum,
Kyu qatl hua tera mukarrar Ali Asghar(as).

6. Sooni hui godi meri ankho mai dhuwaan hai,
Jab se tu gaya janib e Kausar Ali Asghar(as).

7. Har saahib e ehsaas ko raaho me rulaya,
Tha nok e sina par jo tera sar Ali Asghar(as).

8. Peshani-e-Islam pe tehreer hai ab tak,
Qurbaan hue Deen e Khuda par Ali Asghar(as).

9. Saahil ki tamanna hai ye Hasnain ki khwahish,
Nouha ye rahe sabke laboun par Ali Asghar (as)