Horaha Hai Hussain (as) Ka Chehlum

- Hasnain Abidi (2022)


Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

1) Zulm har ek uthaayi hai Zainab(sa),
Wada karke nibhaayi hai Zainab(sa),
Qaid khaane se aayi hai Zainab(sa).
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

2) Shaahe waala ke jaan nisaaroun ka,
Chashm-e-Zainab(sa) tere sitaaroun ka,
Pursa dena hai gham ke maaroun ka.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

3) Sab azadaar-e-Shaahe Karbobala,
Bibi Kubra(sa) ko dete hain pursa,
Bhaiyon ka pidar ka waali ka.
Horaha hai Hussain(as) ka Chehlum,
Qalb e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

4) Hashr ek Karbala me hai barpa,
Haaye kaisa sitam ye dhaaya gaya,
Ghum zada Fatima(s.a) ka hai kunba.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

5) Asghar-e-bezubaan ka maatam hai,
Akbar- e-noujawan ka maatam hai,
Aur Shahe dojahaan ka maatam hai.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum
Qalb - e- Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

6) Aal-e-Ahmed(saws) hai aaj maatam me,
Doobi hai kayenaat is ghum me,
Goonjti hai sada ye aalam me.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

(7) Kya qayamat ka dekho manzar hai,
Qabr -e- Sarwar(a.s) pa ek mehshar hai,
Nouhagar Fatima(sa) ki dukhtar hai.
Horaha hai Hussain (as) ka chehlum.
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

8) Bain karti hain Zainab-e-muztar,
Ek qayamat guzar gayi hum par,
Margayi qaid me teri dukhtar.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

9) Umme Kulsoom(sa) hai bohot muztar,
Qabr-e-Abbas(as) par hai nouhagar,
Kehti hai Ghazi se ye ro ro kar.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

10) Saath kunbe ke darbadar phir kar,
Leke soughaat aayi hai khwahar,
Ab nishaan-e-rasan hain baazu par.
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.

11) Hai dua ye laboun pe 'Sahil' ke,
Aye Khuda hum ko din wo dikhlaaye,
Nouha 'Hasnain' Karbala me padhe
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum,
Qalbe-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.