Chalo Karbala Chalein
- Hasnain Abidi (2023)
Har dil ki ye sadaa hai,chalo Karbala chalein;
Ye haq ka raasta hai, chalo Karbala chalein.
1) Mazloom e Karbala ki ziyarat jise mili,
Samjho ke do jahan ki nemat usey mili,
Qudrat ki ye ataa hai chalo Karbala chalein.
2) Zainab ki aarzu ke ye dekhe hain maujize,
Aate hain Karbala me subh o shaam qaafile,
Ye marzi e Khuda hai chalo Karbala chalein.
3) Jab zair e Hussain(as) chale sooye Karbala,
Lene ko uske aate hain Abbas-e-bawafa,
Kya martaba mila hai chalo Karbala chalein.
4) Boodhe, jawan, bacche sabhi iss dagar me hain,
Maazoor o natawa'an bhi shaamil safar me hain,
Ye zinda maujiza hai chalo Karbala chalein.
5) Toofaan o aandhiyon ka yahan zikr hi nahi,
Zaair ko mausamo'n ki koi fikr hi nahi,
Saaya Imam(as) ka hai, chalo Karbala chalein.
6) Mazhab ki koi qaid na maslak ki bartari,
Jis dil me bhi basi hai mohabbat Hussain(as) ki,
Us dil ka faisla hai, chalo Karbala chalein.
7) Dehshat se zulm o jabr se rukta nahi ye gham,
Har haal me Hussain(as) ka maatam karenge hum,
Zehra(sa) ki ye dua hai, chalo Karbala chalein.
8) Ye nazm e kayenaat hai jiski panaah me,
Shaahoun ke sar bhi jhukte hain jis bargaah me,
Wo dar Hussain(as) ka hai, chalo Karbala chalein.
9) Khaak-e-shifa se badh ke nahi quld ki ataa,
Utre hain aasmaa'n se ye kehkar malaayeka,
Jannat me kya rakha hai, chalo Karbala chalein.
10) Ye ittehaad o pyaar o mohabbat ko dekhkar,
Rauze pe zaairon ki aqeedat ko dekhkar,
Kaaba bhi kehraha hai, chalo Karbala chalein.
11) Hasnain aur Nawaaz ko Moula bulaaiye,
Aankhoun se Karbala ki ye jannat dikhaaiye,
Har pal yehi dua hai, chalo Karbala chalein.