Mere Noor E Nazar Ali Akbar (as)
- Hasnain Abidi (2024)
Mere noor-e-nazar, Ali Akbar(as);
Haaye ho tum kidhar, Ali Akbar(as).
1) Kuch dikhaayi mujhe nahi deta;
Hai ye gham ka asar, Ali Akbar(as).
2) Khol kar dekho toh zara aankhein;
Aagaya hai pidar, Ali Akbar(as).
3) Aediya'an kis liye ragadte ho;
Iss tarah qaak par, Ali Akbar(as).
4) Kyun chhupaate ho baap se apne;
Thaame ho kyun jigar,Ali Akbar(as).
5) Iss zaeefi me baap ko tanha;
Jaate ho chhod kar,Ali Akbar(as).
6) Jee nahi paayegi tumhari maa;
Haal ye dekhkar, Ali Akbar(as).
7) Mai phupi ko tumhaare marne ki;
Kaise doonga qabar, Ali Akbar(as).
8) Mil ke royenge aasma o zamee'n;
Tum pe ab umr bhar, Ali Akbar(as).
9) Nouha padhte hain Sahil o Hasnain;
Dono hain nouhagar, Ali Akbar(as).