Utho Sher E Jawan (as)

- Hasnain Abidi (2024)


Nouha Zainab(sa) ka tha utho Sher-e-Jawa'n,
Aye mere bawafa, utho Sher-e-Jawa'n.

1) Binte Haider(as) tadap kar ye kehti rahi,
Dar se qaime ke mai dekhti reh gayi,
Bhai maara gaya, utho Sher-e-Jawa'n..

2) Shaam-e-gham ye sitam haaye hum par hue,
Chhin gayi chaadarein aur qaime jaley,
Dekho aake zara, utho Sher-e-Jawa'n..

3) Dukhtar-e-Shah-e-Deen ko tamaache lagey,
Kaan zakhmi hue gaal neele hue,
Zulm aisa hua, utho Sher-e-Jawa'n..

4) Berida humko Darbar me le gaye,
The tamaashaayi baithe hue hum khadey,
Thi qiyamat bapaa, utho Sher-e-Jawa'n..

5) Haaye Sajjad(as) par zulm dhaaye gaye,
Har qadam par usey taaziyaane lagey,
Shimr ne ki jafaa, utho Sher-e-Jawa'n..

6) Peeke jaam-e-qazaa tishnagi mit gayi,
Qaid me margayi yu'n Sakina teri,
Yaad tujhko kiya, utho Sher-e-Jawa'n..

7) Raaste par jafaa Shaam-o-Kufa ke sab,
Berida hum rahe sharm se chup the lab,
Saaniye Murtuza(as), utho Sher-e-Jawa'n..

8)Bayn karti rahi Zainab-e-qasta-tan,
Mai ne aise uthaaye hain ranj-o-mehan,
Tukde dil hogaya, utho Sher-e-Jawa'n..

9) Ek mehshar tha Hasnain o Sahil bapaa,
Zainab-e-qasta-ja'an padhti thi marsiya,
Lutt gaya qafela, utho Sher-e-Jawa'n..