Salam Ho Hussain (as) Par

- Hasnain Abidi (2024)


Pukaarte hain maatami, salaam ho Hussain par,
Sadaa hai har Imam ki, salaam ho Hussain par...

1) Ameer e Karbala Hussain(as),Shaheed e beqataa Hussain(as),
Azan ke sada Hussain(as),Namaz ke baqaa Hussain(as),
Hussain meri zindagi, Salam ho Hussain(as) par..

2)Yazeediyat jahan se mitayi hai Hussain(as) ne,
Hamari saari mehnatein bachaayi hai Hussain(as) ne,
Yeh keh raha hai har Nabi, salam ho Hussain(as) par..

3)Har ik nazar ka noor bas Ali(as) ka noor-e-ain hai,
Zamee'n se aasman tak Hussain(as) hi Hussain(as) hai,
Sadaa e haq hai aaj bhi, salam ho Hussain(as) par..

4)Khud apni aankh se dekhne safar woh ishq ka chalo,
Peyadah arbaeen par Najaf se Karbalaa chalo,
Kaho ge tum bhi har ghadi, salam ho Hussain(as) par..

5) Jo dasht holnaak tha usay jinaa'n bana diya,
Shaheed ho ke pyaas mein khuda ka dee'n bacha liya,
Yeh shaan hai Hussain(as) ki, salam ho Hussain(as) par..

6) Fida hue ghareeb par Habib ho'n ya John ho'n,
Imam se phirey nahi Saeed ho'n ya Aun ho'n,
Kalaam sab ka aakhri, salam ho Hussain(as) par.

7) Lahoo ki boond boond ne zamee' pe gir ke di sada,
Ghareeb-e bint-e-Mustafa(saws) ajab hai tera hosla,
Galey se tegh kaat di, salaam ho Hussain(as) par..

8) Takalum-e-Hussainiyat Hussain(as) woh Imam hain,
Ke jin pay kaayenaat ki fazilatein tamam hain,
Sada hai yun gali gali Salam ho Hussain(as) par..