Gham E Hussain (as)

- Hasnain Abidi (2024)


Gham-e-Hussain (as) manaate rahenge Ahl-e-azaa;
Azaa ka farsh bichchaate rahenge Ahl-e-azaa;
Gham-e-Hussain(as) manaate....

1) Hai khaas rishta hamara alam se parcham se,
Hayaat paayi hai hum ne toh bas isi gham se,
Zamana rok na paayega humko maatam se..

2) Karam hai Fatima Zahra(sa) Ka ye badaa hum par;
Jahan pe hoti hai Sheh ki Azaa wahan aakar;
Duaein deti'n hain humko Hussain(as) ki maadar..

3) Baqaa-e-dee'n ke liye karke nusrat-e-Sarwar;
Nisaar Aoun-o-Mohammed(as) bhi hogaye haq par;
Sidhaare Qasim-e-jarràar bhi soo-e-Kausar..

4) Lab-e-Furaat Alamdar ke katey shaaney;
Zameen-e-garm pe bhai ko dekhkar haaye;
Hussain(as) roye bohot dasht me kamar thaame..

5) Shabeeh-e-Ahmad-e-mursil mere Ali Akbar(as);
Sinaa'n ke waar se tukde hua tumhara jigar;
Pidar ke saamne maara gaya jawan pisar..

6) Har ik Nabi ne hai dekha falak se ye manzar;
Chhidaa ke apna galaa ran me Sheh(as) ke haathoun par;
Nisaar deen-e- payambar pe hogaye Asghar(as)..

7) Ali(as) ke laal Shahe mashraqain waawaila;
Batool-e-paak ki aankhoun ka chaen waawaila;
Sadaa ye dete rahenge Hussain(as) waawaila..

8) Hamaare Dil me azal hi se hai wafaadari;
Ye baat ghour SE sun le ay zulm ke baayi;
Hamari zeest ka maqsad hai bas azaadari..

9) Furaat-e-gham mein jo Sahil ne doob kar likha;
Azaa ki bazm mein Hasnain ne wo noha padha;
Tadap tadap ke azadaroun ne kiya giryaa..