Salaam Fatema Zehra Ke Chand Taaro'n Par

- Anjuman E Dua E Zahra (2020)


Na Aasmaa'n Na zamee'n Aur Na Behte Dhaaro'n par
Salaam Fatema Zehra ke Chand taaro'n par

Chale jo syed e Sajjad chubhte khaaro'n par
Gulab Rone lage aise Be dayaro'n par

Paden hen khoon me Tar Karbala ke jungle me
Ye kesa zulm hai Quraan tere paaro'n par

Zamee'n madeene ki Abid ke choom le paonw
Ye Raah sabr me aaye hen chal ke khaaro'n par

Tamache maar ke ik be haya ne cheen liye
Nazar padi jo sakeena ke goshwaro'n par

Mita ke dekh lo inko ye mit na payenge 
Dua Butool ki hai sheh ke sogwaaro'n par

 Husain bole agar izn de du'n ai Zaalim 
Akela kaafi hai Ghazi Tere hazaro'n par

 Ye doobe shams ne phir se palat ke batlaya
Nizaam chalta hai haider tere isharo'n par

Sipahe Shaam jo sajde ko rokne aayi
Galo ne kar Diya hamla churi ki Dharo'n par

Jo aise daur me baaqi hen majlis o maatam
Karam hai Fatema Zehra ka gham gusaro'n par

Dikayi mujh ko Diya hai wahan bhi farshe aza
Nigah jab bhi padi meri chand Taron par

 Sanad ghulami ki khanbar se jo na le paye
Faqeer hanste hen aise hi tajdaro'n par

Gulo pa dekh ke Shabnam ko Aarzoo ye laga
Ke arsh rota hai Zehra ke maah paro par

Kabhi khayam jale aur kabhi Bandhe Baazu
Qadam qadam pe musibat thi gham ke maaro'n par