Ahle Aza Maahe Aza Agaya

- Sayyed Ali Muntazir (2025)


Kyu ye atey hai ashkbaar bohat
Kyu mera dil gai beqarar bohat
Wo mahina qareeb aa pohcha
Jiska tha mujhko intezar bohat

Ahle Aza Mahe Aza Agaya
Dil ye Mera Kyu Bhala Rone Laga

Dilbare Shere Khuda,
Ghar hai Hamara Khula,
Ham Hai Tumhare Gadaa.

Ye Chand Mahe Muharram Ka Jabse Nikla Hai,
Gharo Me Ghazi Ka Parcham Koi Lagata Hai,
Kahi sabeel pe pani koi pilata hai,
Deta hai rokar sada,
Aey Shahe Karbobala, lijiye pursa mera.

Kahi'n pa matam o majlis ka ahtemam hai ab
Kahi'n pa marsiya khwani kahi'n salaam hai ab
Hamara kaam to itna hi subh o shaam hai ab
Gham hai faqat shaah ka
Kuch nahi iske sewa
Kaam mera doosra

Khuda kare yunhi hoti rahe Azadari
Har ik jawa'n me rahe jazbaye alamdaari
Na ruk sake ye kabhi ho agar che bambaari
Hai yahi waada mera
Ghaazi mere baawafa
Koi nahi aapsa

Hussain farshe aza par jise bulaate hain
Ghar apna chodh ke wo majliso me aate hain
Duaayen fatima zahra se phir wo paate hain
Kahte hain ahle aza
Jaane dil Mustafa
Hai ye karam aapka

Main de raha hoon sakina ka waasta ghaazi
Bulalo mujhko bhi is baar karbala ghaazi
Tumhe sunana hai jo haal hai mera ghaazi
Aaun main jab karbala
Rauza ho bas aapka
Aur ye khaadim tera

Karo rabaab ke us bezabaan ka maatam
Zayeef baap ke kadyal jawaan ka maatam
Jo ban me lut gaya us khaandaan ka maatam
Ham shabihe Mustafa
Bas hai ye armaa'n mera
Dekhlun main karbala

Jo nauhakhwan ye padhte hain shaah ka nauha
To sar ko peet ke karte hain matami girya
Ghame hussain me baccho ko karte hain sadqa
Rahti hai lab par sada
Baaniye farshe aza
Aapka sad shukriya

Hai ye tumhara karam ham pe Zainabe muztar
Aza ka farsh bicha hai ghareeb khaane par
Sar apna kham kiye kahta hai baraha Haider
Bakht mera khul gaya
Aagyin ghar fatima
Lene ko ashke aza

Dil Ki sada Ya Hussain(a.s),
Gham ki Dawa Ya Hussain(a.s),
Humko Bulana Hussain(a.s),
Karbobala Ya Hussain(a.s)
Maar Ke seene pe Hath
Sab ne Kaha Ya Hussain(a.s)