Agar Tum Hote

- Yusuf Ali Okera (2021)


Ay mere Ghazi Alamdaar agar tum hote
Hoti Zainab na giraftaar agar tum hote

Naiza Akbar ke kaleje pe na lagta Abbas
Mera atthara baras wala na marta Abbas
Sani e Haider e karraar agar tum hote

Sina e Sheh pe jo aaram kiya karte the
Bose Jinke Shah e mazloom liya karte the
Zakhmi hote na woh rukhsaar agar tum hote

Jalte khaime na koi chinnta meri chaadar
Na rasan bandhta koi,na baraste patthar
Na main jaati sare bazaar agar tum hote

Dekh leti jo woh Ek baar tumhari surat
Qaid khane mei Yateema ki na banti turbat
Ay Sakina ke tarafdaar agar tum hote

Ek rida ke liye mohtaj na hoti behne
Chehra baaloN se chupakar ke na roti behne
Jaanti huu mere jaraar agar tum hoti

Durre sajjad ke aakar na lagata koi
Pusht e Aabid pe bhi naiza na chubhata koi
Chalta kaatoN pe na bimaar agar tum hote

Ay Raza karboala kaap rahi thi uss Dam
Jab behan karti thi bhai ki lahad par matam
Bain Yusuf the yeh har baar agar tum hote