Karbala se lut ke nana Teri zainab aai hai

- Syed Faizan (2022)


Karbala se lut ke nana Teri zainab aai hai

Leke sare ghr ka sadma Teri zainab aai hai

Ham pe jo guzri hai Nana kaese batlaun tumhe
Kis tarah ummat ke sare zakhm dikhlaun tumhe
Ho gaya taraj kunba Teri zainab aai hai
Karbala..

Mar gaye abbas o qasim mar gaya akbar mera
Pyas ke badle sitam ka teer asghar ko mila
Leke abid ka sahara teri zainab ayi hai

Kund khanjar shimr ka shabbeer ka sookha gala
Dekhti main rah gayi katta raha sheh ka gala
Kho ke bhai ko madeena teri zainab ayi hai

Payas se bali sakeena jaan balab hone lagi
Mashk ko lekar chala phir janib e dariya jari
Lout ke aya na saqqa teri zainab ayi hai

Qasim e gulpairahan run me gaya tha nana jaan
Ho gaya pamaal bhai ki nishani neem jaan
Karabala se bch ke dukhiya teri zainab ayi hai

Khak arman ho gaye seene me jab naiza laga
Main tadap kar bol uthi akabar ye tumko kya hua
Ho gaya taaraaj kunba teri zainab ayi hai

Dil mra seene me nana aaj bhi hai beqarar
Mere dono laal ne mamu pe kar di jaN nisar
Chhod kar sara gharana teri zainab ayi hai

Karabala ke baad qaidi ban gaye ahleharam
Chhin gayi chadar saro se ho gaye majbur hm
Jhel kar har ghum ko zinda teri zainab ayi hai

Tashna lab bali sakina thi gale me reesma
Ro raha tha dekh kar manzar zameeno asma
Mar gayi pyasi sakina teri zainab ayi hai