Roz e ashura
- Nadeem Sarwar (2025)
Ya Hussain...
Kullo yawmin ashura, kullo arzin karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yawmin ashura, kullo arzin karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Allah Allah
Allah Allah roz e ashura
karo matam, karo ghum, aur padho nauha
Arsh walo ne kiya
farsh walo ne kiya
chand taro ne kiya
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
1. Jab basi, jab basi
Jab basi karbobala wo hai ashoor ka din
jis ka ghum kam na hua wo hai ashoor ka din
yaad me jis ki sada
bicht hai farsh e azaa
hota matam hai bapa
paara paara hai dil e Zahra
karo matam karo ghum aur padho nauha
Allah Allah
Allah Allah roz e ashura
karo matam, karo ghum aur padho nauha
Kullo yawmin ashura, kullo arzin karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
2. Momino, momino
Momino socho zara dus(10) moharram jo hua
ghar nabi paak ka tha jo tha lakho mein ghira
jin pe har zulm hu
jinko pani na diya
pyasa hi maar diya
aale Ahmed ka ujad jana
karo matam karo ghum aur padho nauha
Allah Allah
Allah Allah roz e ashura
karo matam, karo ghum aur padho nauha
Arsh walo ne kiya
farsh walo ne kiya
chand taro ne kiya
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
3. Han suno, han suno
Han suno ashura bibi Zainab se zara
samne jiske luta ghar sar e karbobala
jiska kuch bhi na bacha
jiska dil tukde hua
jiska ghar qaidi bana
kaise Zainab ne ye sab dekha
karo matam karo ghum aur padho nauha
Allah Allah
Allah Allah roz e ashura
karo matam, karo ghum aur padho nauha
Kullo yawmin ashura, kullo arzin karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
4. Woh Hussain, woh Hussain
Woh Hussain jiski sadaa la ilaah illallah
zere khanjar bhi kaha la ilaah illallah
imteha'n aisa diya
apna sab waar diya
koi baqi na raha
jiska pamaal hua lasha
karo matam karo ghum aur padho nauha
Allah Allah
Allah Allah roz e ashura
karo matam, karo ghum aur padho nauha
Arsh walo ne kiya
farsh walo ne kiya
chand taro ne kiya
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
5. Ba khuda, ba khuda
Ba khuda yaad rahe kya hai tehreeb e azaa
ho azadari bapa aur namazein bhi adaa
lab pe Ya Allah rahe
Ya Rasulallah rahe
Ya Ali Maula rahe
aise hota rahe ashura
karo matam karo ghum aur padho nauha
Allah Allah
Allah Allah roz e ashura
karo matam, karo ghum aur padho nauha
Kullo yawmin ashura, kullo arzin karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain