Roke Bhai Se Jab Ye Behan Ne Kaha
- Syed Mujtaba Kazim (2024)
Roke Bhai Se Jab Ye Behan Ne Kaha
Aagye Aagye Bhaiya Hum Ye Kaha
(1) Bhaiya Baba Ke Sine Pe Soti Thi Main
Bhaiya Ammu Ki Godi Me Rehti Thi Main
Bhaiya Akbar Ke Sath Main Chalti Thi Main
Bhaiya Asghar Ko Jhula Jhulati Thi Main
Lut Gayi Bhaiya Haye Meri Duniya
(2) Bhaiya Baba Ka Sar Haye Kataya Gaya
Bhaiya Ammu Ko Dariya Pe Maraya Gaya
Bhaiya Akbar Ke Sine Pe Naiza Laga
Bhaiya Asghar Ka Sar Bhi Toh Kata Gaya
Zulm Ki Bhaiya Ab Hai Koi Intehan
(3) Bhaiya Main Toh Madine Ki Shahzadi Thi
Hasne Or Muskurane Ki Main Aadi Thi
Na Rasan Basta Thi Na Main Faryadi Thi
Mere Bachpan Ki Aisa Si Na Barbadi Thi
Aaj Rassi Me Hai Mera Nannah Gala
(4) Har Ghadi Yaad Ata Hai Mujhko Watan
Jis Me Chhot Gayi Meri Payari Behan
Thi Woh Bamar Pehle Hi Lagar Badan
Tanha Kaise Sahengi Woh Ranzo Mehan
Ek Zamana Use Dekhe Beet Gaya
(5) Koi Godh Me Mujhko Uthata Nani
Dard Paon Se Ab Mere Jata Nah
Meri Imdaad Ko Koi Aata Nahi
Payas Lagne Pe Pani Pilata Nahi
Khamat Hota Nahi Zulm Ka Rasta
(6) Bhokh Ka Gham Nahi Payas Ka Gham Nahi
Nanne Paon Se Chalne Ka Ab Dam Nahi
Khushq Aassu Hue Aakh Ab Nam Nahi
Pucht Zakhmi Hai Durro Se Marham Nahi
Gham Me Phirti Hoon Main Dar Badar Pe Rida
(7) Dekh Pate Na Ammu Ye Haal Mera
Zakhmi Kaano Se Khoon Ye Behta Hua
Neele Rukhsar Mere Ye Kurta Jala
Nanne Paon Me Phuta Hua Aablaa
Sirf Ek Din Me Hi Kiya Se Kiya Ho Gaya
(8) Is Liye Meri Uthti Nahi Hai Nazar
Mere Baba Ka Sar Naine Ki Nok Par
Dekh Ke Mera Phatta Hai Qalbo Jigar
Meri Halat Pe Rota Hai Baba Ka Sar
Kar Raha Hai Abhi Tak Jo Zikre Khuda
(9) Kya Khabar Thi Safar Me Hi Mar Jaungi
Laut Ke Na Kabhi Apne Ghar Jaungi
Naam Apne Ye Zinda.N Main Kar Jaungi
Ek Khush Lahad Me Utar Jaungi
Hum Safar Mera Hoga Ye Kurta Jala
(10) Bola Bhai Ye Aye Meri Payari Behan
Bedi Paon Me Hai Tauq Me Gardan
Misl Tere Hi Zakhmi Hai Mera Badan
Tujh Se Sharminda Hun Dena Paya Kafan
Teri Puri Wasiyat Main Kar Na Saka
(11) Apne Ashq Ko Se Daman Woh Bharti Rahi
Jo Andhero Se Zinda.N Ke Darti Rahi
Raat Din Jo Watan Yaad Karti Rahi
Qaid Khane Me Guth Guth Ke Marti Rahi
Jis Ke Hotu Pe Arshi Ye Noha Raha