Ana Abbas E Ali(as)
- Mohammad Kazim (2025)
Aasmano Ki Bulandi Pe Hai Rutba Mera
Mujko Khud Fatema Zahra(S.A)Ne Kaha Hai Beta
Me Hu Sakka E Sakina Me Shahenshaahe Wafa
Manzelat Meri Samaj Sakti Nahi Ye Duniya
Sani E Haidere Karrar Hu Jarrar Hu Me
Lashkare Sibte Paymbar Ka Alamdaar Hu Me
Ana Abbase Ali
Ana Abbase Jari
Mere Aaqa Ki Gulami Hai Shahenshahi Meri
Ana Abbase Ali
Ana Abbase Jari
Haidero Shabbbaro Shabbir Ka Hu Me Pyara
Teen Imamo Me Julaya Hai Mera Gehwara
Mera Rutba Hai Bada
Me Zamane Se Juda
Dono Aalam Ke Liye
Me Hu Har Gam Ki Dawa
Ye Jaha Mera Gadagar Hai Tawangar Me Hu
Jo Mukaddar Ko Badal De Wo Sikndar Me Hu
Mujse Ik Baar Zara Maang Ke Dekhe Koi
Sher Kehte Hain Muje Galibe Kul Galib Ka
Meri Rag Rag Me Rawa Khu Hai Abutalib Ka
Me Hu Sultaane Wafa
Me Hu Haider Ki Dua
Ran Me Har Hamle Se
Mera Hamla Hai Juda
Shamiyo Dasht Ko Lasho Se Abhi Bhar Dunga
Hukm Milte Hi Tumhe Zero Zabar Kar Dunga
Dushmane Sibte Paymbar Se Ladaai Hai Meri
Mashk Laya Hu Me Talwaar Kaha Laya Hu
Jang Karne Nahi Paani Ke Liye Aaya Hu
Me Hu Sakka E Haram
Me Hu Pyaaso Ka Bharam
Jaan Pyaari Hai Agar
Kheech Lo Piche Qadam
Apne Abru Se Bayabaan Ulat Sakta Hu
Toote Naize Se Bhi Maidaan Ulat Sakta Hu
Rokne Ki Muje Jurrat Nahi Karna Koi
Mera Jazba Meri Himmat Meri Taaqat Dekho
Ak Pyaase Ki Sitamgaar Pe Haibat Dekho
Me Shuja,At Ka Dhani
Me Ita,At Ka Wali
Tum Ho Buzdil Ke Pisar
Me Hu Abbase Ali
Sani E Haidere Karrar Nahi Ho Sakta
Mujsa Duniya Me Wafadaar Nahi Ho Sakta
Chullu Me Aab Hai Or Hoth Pe Hai Tashna Labi
Jab Ama Nama Huwa Pesh Jari Ke Aage
Bola Abbas Ama Naame Ke Tukde Kar Ke
Ham Daga Karte Nahi
Mout Se Darte Nahi
Ran Me Hote Hain Shaheed
Ham Kabhi Marte Nahi
Kya Shahadat Ka Maza Hai Ye Kaha Tumko Khabar
Qatl Ke Baad Me Fir Zinda Kiya Jaau Agar
Waar Dunga Me Shahe Wala Pe Fir Jaan Meri
Gaiz Kehta Hai Ke Kohraam Machaya Jaaye
Hukm Kehta Hai Nahi Sabr Dikhaya Jaaye
Ha Wafadaar Hu Me
Aala Kirdaar Hu Me
Jisko Kehte Hain Wafa
Uska Sardaar Hu Me
Apne Baba Ki Tarah Sher Jigar Rakhta Hu
Teero Talwaar Me Maqtal Ka Safar Karta Hu
Chodna Seekha Nahi Sher Ne Maidaan Kabhi
Shor Khaimo Me Kamar Thaame Shahe Wala Hain
Me Batata Hu Tumhe Mere Masayeb Kya Hain
Jab Chala Teere Sitam
Ho Gye Baazu Qalam
Pani Pohcha N Saka
Reh Gya Dil Me Alam
Ghodo Ki Taapo Se Tukdo Me Meri Laash Bati
Is Liye Kabr Meri Hai Ali Asgar Jaisi
Puche Turbat Se Koi Kya Hai Meri Mazloomi
Khoon Aalood Wo Parcham Nahi Bhulenge Ham
Teri Majlis Tera Maatam Nahi Bhulenge Ham
Ay Mere Dil Ki Sada
Ay Mere Gam Ki Dawa
Ay Sakhi Ibne Sakhi
Ay Sakina(S.A) Ke Chacha
Chaahne Walo Ka Andaaze Bayaani Sun Lo
Nouha Rizwan Ka Kazim Ki Zabaani Sun Lo
Ham Faqeero Pe Tumhari Ye Inayat Hogi