Peet Kar Seena Ye bole
- Hasan Abbas (2025)
Haaye......
Ran se awaaz-e-Alamdar jo khaime mein gayi
Sunkay Ghazi ki sada nikle Hussain Ibn-e-Ali
Lab pe Shabbir ke jaari the faqat bain yahi
Gham mein Abbas tumhaare yeh kamar toot gayi
Kaisi ghurbat hai ke nazron ne meri kya dekha
Nahar par bikhra hua bhai ka laasha dekha
Peet kar seena yeh bole Shahe Wala Abbas
Chhod kar jao na mujhko mere bhaiya Abbas
Peet kar seena yeh bole Shahe Wala Abbas
Haye Abbas.....
Tum na hoge to Alamdar bulaunga kise
Haal-e-dil apna mere bhai sunaoonga kise
Dega ab kaun bhala mujhko sahara Abbas
Kha na jaaye humein Abbas judaai yeh teri
Chaar soo humko nazar aate hain ae bhai shaqi
Aur dete hain yeh tanhaayi ka Taana Abbas
Haye Abbas....
Jab nazar mashk o alam par gayi mehsoos hua
Haath seene pe rakha aur mere dil ne kaha
Aapke saath hi Rehti hai Sakina Abbas
Ya Babe Hawaej......
Har azaadar ki hai itni Guzarish Maula
Poori ho jaaye faqat dil ki yeh Khwahish Maula
Dekh lein nazron se bas aapka Rauza Abbas
Haye Abbas....
Dono shaane hain qalam, aankh mein piywast hai teer
Kis ne haalat yeh kiya, poochh rahe hain Shabbir
Gurz sar par yeh bhala kis ne hai Maara Abbas
Haye Abbas.....
Maa teri maut ki jis waqt khabar paayegi
Aisa lagta hai ke woh jeete ji mar jaayegi
Kaise le jaaun tera khaime mein laasha Abbas
Haye Abbas....
Baade Abbas ke Jab zulm sahegi Zainab
Karke rukh jaanib-e-dariya yeh kahegi Zainab
Lautne aaye hain chadar meri adaada Abbas
Ya Babe Hawaej......
Ashk barsaao Alamdar ke gham mein Haidar
Sar ko peeto Ae Hasan khaak udaao keh kar
Kijiye mera bhi maqbool yeh pursa Abbas
Peet Kar Seena Ye Bole Shah E Wala Abbas
Haaye Abbas....