Be Sar Pada Hai Dasht Mein Lasha Hussain Ka

- Mirza Jaffar Abbas (2025)


Be sar pada hai dasht mein lasha Hussain ka
Pamaal haaye ho gaya lasha Hussain ka

1-sar par laga jo gurz tho tadpe wo zeen par
Tadpa hai nehr pe bhi bhai Hussain ka

2-Jab zeen se Zamee’n pe aane lage Hussain
Teron se chalni chalni badan thha Hussain ka

3-Barsat horahi thi teron ki dasht mein
Rondha gaya hai dasht me laasha Hussain ka

4-Talwaar kund karke chala shimr qatl ko
Najaane Khoo’n ka pyasa thha kitna Hussain ka

5-Jab shimr zibha Karne ko aaya sare hussain
Pyasa gala thha haaye Moula Hussain ka

6-Haye MAA ke saamne Kiya zibha Hussain ko
Tadpa raha thha maa ko yun qatil Hussain ka

7-Naize pe sar Hussain ka aya toh ye kaha
Poora huwa aye naana waada Hussain ka

8-Ghodon ke daudne se tooti hain hadiya’n
Pamaal Yun Kiya gaya lasha Hussain ka

9-Jaffar na kaise roye Sajjad(a.s) umr bhar
Dekha hai zulm aur wo lasha Hussain ka