Mai Us Ghareeb Ka Chehlum Manane Aayi Hoon

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2025)


Bulake ban me satakar jise Shaheed kiya
Aaj chelum hai mere ussh gareeb bhai ka
Kar diya jiska sitamgaro ne tukde tukde
thamke apna jigar kaheti hain binte zahra

Paraye desh me jisko kafan talak na mila
Mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon

Wo jiska dasht me paamal hogaya lasha
Mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon

1. Laeen phirata raha jiske halq par khanjar
Sawaar shimr sitamgar tha jiske seene par
Mai jiska dekh ke aayi hoon bekafan lasha
Mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon

2. mujhko zalim ne gala jiska dikhakar kata
jiske rukhsar pe zalim ne tamacha mara
dekhkar mujhko suku milta tha jiska chera
Mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon

3. Ke jiske phool se bache ko na mila pani
Aur uska teen dino haaye band tha pani
Gale me jiske pisar ke tha teere seh shoba
Mai us ghareeb ka chehlum…..

4. Bhatije bhanje bhayi shaheed jiske hue
Mai dekhti rahi paamal hogaye lashe
Bas ek roz me wo jiski lut gayi dunya
Mai us…..

5. Wo jiska laal na turbat me reh saka haaye
Layeen nanha sa lasha nikaal kar laaye
Mai dekhti rahi naazuk gale ko kat-ta huwa
Mai us……

6. Giri mazaar pe bhayi ki nauhakhwan zainab
Batado bhaiya mere jaayen ab kahaan zainab
Ye kehke qabr pe behosh hogayi dukhiya
Mai ussh.....

7. Ye dekhlo mere bhai hai chutgayi Zainab
Dilaon nazr bhala kispe lutgayi Zainab
Ye kehke qabr pe behosh hogayi dukhiya
Mai us…..

8. Ghareebe Fatima zehra ka arbaeen hai ye
Jahaan pukaara ke mola ka arbaeen hai ye
Dhadakta qalb hai Rehaan aur Mubarak ka
Mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hu