Aao Ro le Shahe Karbala Ko

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2025)


Aao rolen shahe karbala ko, Zindagi ka bharosa nahi hai
Jo bhi girta hai iss gham me aansu, koi bekaar jaata nahi hai

Chand mah e aza ka jo nikla, dekhkar ro padi bint e zahra
Baad issh chand ke zindagi me koi lamha khushi ka nhi hai

Chand badli me chup ja tu jake, Na khabar de moharram ki Aake
jab se dekha hai tujhko falak par mera sajjad sota nhi hai

Jab jale ho'nge khaime haram ke, jab chini hongi sar se ridaye'n
Guzri hogi kya saidaniyon par, wo samaa dil se jaata nahi hai

teer itne lage hain badan me bhai mera tadapta hai ran me
dekhkar mere bhaiya ki halat mera dam Q nikalta nhi hai

Karbala me jo jaayengi Zainab, kya batayengi bhayi ko Zainab
Chutke zindaa'n se jo aarahe hain, unme pyari sakeena nahi hai

Behre tazeem uutho aye akbar, parda daari karo mere dilbar
Aa rahi hai sawaari phuphi ki, jis ka koi sahaara nahi hai

Margaye mere sare dulare, kon mahemil se mujhko utaare,
Amma fiza do Aake sahara pass abbas mera nhi hai

Jab madeene me jaayegi Zainab, kya batayegi sughra ko Zainab
Wo nishaane rasan baazuón par, neel ab tak bhi chuta nahi hai ko