Mere Hussain Hussain

- Mir Zaman Hussain (2024)


Sada Nasheb Se Deti Hain Fatima sa Rokar
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain
Ke Lene Khuld Se Aai Hai Ab Tujhe Madar
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain

1
Mai Janti Hoon Bahut Thak Chuke Ho Tum Beta
Har Ek Shaheed Ka Lasha Uthaya Hai Tanha
Teri Ghareebi Pe Roye Na Kyu Jaha'n Sara
Zameen Garm Hai Aur Laal Tera Jisme Athar
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain

2
Kabhi Tu Lashaye Qasim Kabhi Tu Akbar Ki
Kabhi Habeeb Ki Muslim Ki Aur Jafar Ki
Kabhi Tu Hurre Dilawar Ki Aur Asghar Ki
Uthaya Tune Hai Mayyat Mere Pisar Dinbhar
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain

3
Lahed Mein Aayega Kiyo Kar Mujhe Batao Tu Chain
Sitam Ke Narghe Mein Jab Ke Hai Mera Noore Aain
Mai Qatl Gaah Teri Saaf Kar Rahi Hoon Husain As
Ye Soch Kar Mera Dil Khoon Rota Hai Sarwar as

4
Mai Tanha Chhod Ke Aye Laal Kis Tarha Jaaun
Tu Mushkilaat Mein Hai Mai Sukoon Kya Paun
Kaha'n Se Dhoodh Ke Abbas Ko Mai Le Aaoun
Hai Sota Chain Se Shane Kata Ke Dariya Par
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain

5
Aye Baba Dekhlo Ummat Ne Kya Ye Kar Dala
Lahu Mein Doob Gaya Meri Good Ka Pala
Kesi Ne Teer Chalaya Kis Ne Hai Bhala
Mere Ghareeb Pe Barsa Rahe Hain Ye Patthar
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain

6
Abhi Tu Mayyate Akbar Utha Ke Aaya Hai
Tu Bezuban Ki Turbat Bana Ke Aaya hai
Tarai Se Tu Alam Ba Wafa Ka Laya hai
Mai Janti Hoon Bahut Thak Chuka Hai Tu Dilbar

7
Esi Liye Tujhe Pala Tha Sayyada Ne Kya
Ki Baap Ki Meri Ummat Tujhe Ye Dee Eeza
Mere Ghareeb Tera Haye Kuch Bhi Bach Na Saka
Tarap Rahe Hain Mohammad Bilakte Hain Haider

8
Wafa Bayan Ho Kis Tarha Haye Gham Ka Sama
Zaman Liye Huwe Qatil Jo Teg Aage Badha
Husain Qatl Huwe Goonji Sayyada Ki Sada
Hai Bhukha Peyasa Mera Laal Rok Le Khanjar
Mere Husain Husain, Mere Husain Husain