alqama ke saahil par
- Hassan Abbas Hamid (2025)
Vaaqiya huva aisa alqama ke saahil par
Vaaqiya huva aisa alqama ke saahil par
Shah ne kaha mujh ko karbala ko jaana hai
Zuljanaah bas wo hi aakharee thikaana hai
Jald ab mujhe leja alqama ke saahil par
Phool jaise jismoñ par sakht barchhiyañ khaane
Kufr ke shikanje se deen e haq ko chhudvaane
Kaaravañ ruka sheh ka alqama ke saahil par
Qatle ibn e haider ki aarazoo liye dil meiñ
Baadaloñ ki tarha se ubhriñ shaam ki faujeiñ
Aa ke shaah ko ghera alqama ke saahil par
Zaalimoñ ne syed par band kar diya paani
Teen din talak unko bund na mila paani
Qaafila raha pyasa alqama ke saahil par
Sher ek alam waala mashk le ke nikla tha
Anginat laenoñ meiñ gir gaya akela tha
Usko gher kar maara alqama ke saahil par
Sharm na zara si ki faatema ke bete ki
Jisko jitna ji chaaha utni barchhiyañ maari
Zeen se gira mola alqama ke saahil par
Yakbayak bayabañ meiñ chaa gayi siyaah aandhi
Aasamañ se khooñ barsa or zameen tharrayi
Tha samañ qayamat ka alqama ke saahil par
Jaane kya chhupaaya tha rab ne us ki mitti meiñ
Khooñ mila diya apna sab ne us ki mitti meiñ
Bas gayi nayi duniya alqama ke saahil par
Jab ke deen ka beda doob ta nazar aaya
Nakhuda bana uska tab batool ka jaaya
Or usko le aaya alqama ke saahil par
Ho hasan ki qismat par bhi tera karam etna
Tere paak zawwaroñ meiñ shumaar ho uska
Kab bulaaoge mola alqama ke saahil par