Qaid Khane Ka Andhera

- Anjuman E Naqviya Allahabad (2013)


Qaid Khane K Andhera Aye Sakeena, Aye Sakeena,
Dar Na Jao Tum Sakeena, Aye Sakeena Aye Sakeena.

Subah Se Tum Ro Rahi Ho, Ao Aghosh Me Ao,
Meri Bachi Meri Beti Maan Ko Itna Na Satao,
Maan Jao Maa Ka Kahna, Aye Sakeena Aye Sakeena.

So Raha Hai Sar Kataye Bhai Maqtal Me Hamara,
Yaad Karti Ho Jise Tum Ab Na Aoyenge Wo Baba,
Bhool Jao Unka Seena, Aye Sakeena Aye Sakeena.

Ao Paas Ao Humare Hum Tumhe Lori Sunaye,
Ho Kai Raaton Ki Jagi, Apne Seene Pe Sulaye,
Hone Wala Hai Sawera, Aye Sakeena Aye Sakeena.

Shab K Sannate Me Rone Ki Sada Gunjegi Bibi,
Teri Awaz Tere Baap Talak Pahuchegi Bibi,
Kaap Uthega Sun K Lasha, Aye Sakeena Aye Sakeena.

So Rahi Ho Kiske Seene Se Lipat Kar Meri Bachi,
Kaise Pahchana Hai Ye Ye Lashaye Sarwar Meri Bachi,
Jism Pe Sir Hai Na Kapda, Aye Sakeena Aye Sakeena.

Rote Rote Jab Huyi Qaid Me Khamosh Sakeena,
Roke Zainab Ne Kaha Mar Gayi Bhai Ki Yateema,
Maa Ne Beti Ko Pukara, Aye Sakeena Aye Sakeena.

Qaid Se Chhut Ke Haram Pahuchenge Jis Waqt Madina,
Kya Batayenge Use Kyu Nahi Ayi Sath Ayi Sakeena,
Jis Ghadi Puchegi Sughra, Aye Sakeena Aye Sakeena.

Kaise Zindan Me Raunaq Bani Masooma Ki Turbat,
Na To Samane Kafan Tha Jisse Kafnate Wo Mayyat,
Tha Kafan Khoon Bhara Kurta, Aye Sakeena Aye Sakeena