Gazi Abbas-e-Wafa

- Abbas Ali Mirza (2014)


Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa x 4

Ghazi Abbas-e-Wafa, tu hai Haider ka nishan,
Hai tere naam se zinda hai yeh duniya main wafa,
Suno Abbas-e-jari, Hubahu Sher e Ali
Sirate shabbar o shabbir aur Haider ka lahoo
Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa

Chand hai hashmi tu aur sher e Haidery tu,
Shabi e Haider e karraar hai aur shaan bhi tu,
Tere hone se layeen kaanpte hain jaan le tu,
Hai behan Zainab o Kulsoom ki jaan bhi tu,
Jaan bhi tu... Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa,

Manga tha baba ne Allah se tujhe Ghazi,
Kaha tha maa tujhe be ta sun mere Ghazi,
Bhai ho kar bhi pukara hai tu mujhe aaqa,
Bhai keh kar mujhe dede tu umr bhar ka sila
Umr bhar ka sila... Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa,

Jung karne ki badi aas thi tujhe bhai,
Karunga jung tere naam ki mere bhai,
Karunga waar tere naam se mere bhai,
Wada hai mera karunga teri khwahish poori
Khwahish poori... Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa

Mashq paani ka liye ja raha hai dariya tu,
jo suna pyas se bhacho ka woh tarrasna tu,
jo laga teer chidi mashq bahgaya pani,
Hogaya thanda Alam khoon mien milgaya paani
Milgaya pani... Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa

Tere parcham mein hi leheraega mehdi ka alam,
Waris e Haidery lehraega tera parcham,
karega jung tere naam ki lekar wo alam
Uske bhi vaar se hogi teri khwahish poori
Khwahish poori... Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa,

Tera matam bhi kare tujhpe giriya bhi karen,
Yeh Azadari ko is duniya mein hum aam karen,
Yeh kalam chalta hain Abbas ka, tera hai karam,
Iss Azadar ko Mahshar mein dena apna alam,
Haan apna Alam... Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa,

Ghazi Abbas-e-Wafa, tu hai Haider ka nishan,
Hai tere naam se zinda hai yeh duniya main wafa,

Karabala kehti rahi, tu hai Abbas-e-jari,
Tu hai Abbas-e-jari, Karabala kehti rahi.

Aye Alamdar, Alamdar, Alamdar-e-wafa,