Yeh Shaam -e- Ghariban Hai

- Abbas Ali Mirza (2014)


Kut gaye Hussain, Na koi hai rehbar,
Baiti rahen Saydaniya karbal ki zameen par,
Hai kulla aasman, Na chaadar sarron par,
Is Tarha guzri hai raat, Ale Muhammad par,
Khoon rohdiye Sajjad nauha yeh sunna kar.

Yeh Shaam e garibaan hai,
Har aur andhera hai,
Mazloom ka matam hai.

Laashen hai bekafan kyu,
Khaamosh hai zameen kyu
Na zeen na zameen par, Sarwar ka Laasha hai kyu,
Pyaase hai teero par aur sajda e shukr hai

Zainab hai khulle sar kyu,
Be aab-o-bewatan kyu,
Khayme bhi jalgaye kyu, Kya Gazi ab nahi tu,
Namoose payambar hai, iss raat akhele kyu

Kaandhon pe apne zainab,
Sajjad ko utthaye,
Jalte huwe khaymose, Sajjad ko bachaye,
Bimaar hai, qaidi bhi hai, Masoomon par sittam hai.

Saydaniya bandhi hai,
Bas ek hi rasan mein,
Chaadar nahi sarron par, Baalo se parda kar kar,
Laachaar hai, Baazar hai, kaanton bhara safar hai

Baali Sakina dekho,
Baba ko dhundti hai,
Maqtal ke simt jaye, Baba ko hai pukare,
Mitti pe soona hai, Iss raat sakina kyu

Kaise bayan karun mein,
Bus meri yeh dua hai,
Hujjat tammaam Karde, Qayam se tu milla de,
Labbaik keh raha hoon, Dar pe tere khada hoon.