Tadap Kar Hazrat e Baqir Se Ye Zainul Aba Bole
- Irfan Hussain (Bangalore) (2019)
Baqir Mere Beta Meri Faryaad Suno
Tadap Kar Hazrathe Baqir Se Ye Zainul Iba Bole
Mai Aankhein Band Karta Hun Toh Maqtal Yaad Aata Hai
Ay Mere Laal Batla De Ke Mai Soo-Un Bhala Kaise
1. Meri Nazron Mai Aajata Hai Ek Tuuta Huwa Naiza
Rulaata Hai Mujhe Zaqmi Kaleja Mere Bhaiya Ka
Hatane Se Bhi Wo Manzar Nahi Hat Ta Hai Aankhon Se
2. Jab Aankhein Band Hoti Hain Toh Yaad Aajate Hain Baba
Mere Baba Ka Zaqmi Jism Teeron Par Muallaq Tha
Mere Rehte Huwe Tashna Dahan Maare Gae Pyaase
3. Wo Qaima Jal Raha Tha Jisme Mai Behosh Tha Beta
Badi Mushkil Se Qaime Se Phuphi Jaa Ne Nikaala Tha
Mujhe Hosh Aaya To Dekha
Fiza Mai The Faqat Sholay
4.Sakina Karbala Ke Baad So-Ee Hee Nahi Baqir
Wo Ek Din Margai Ghutkar Kabhi Ro-Ee Hee Nahi Baqir
Wo Rona Chahati Thi Jab Laeen The Maarte Durre
5. Ali Asghar Ka Marjaana Sare Maqtal Qayamat Thi
Mere Laqte Jigar Wo Tere Baba Ki Shahadath Thi
Abhi Tak Yaad Karta Hun Wahi Manzar Mai Ro Ro Ke
6. Taane Qasim Ka Khoon Mai Dubjaana Kaise Bhoolunga
Eba Mai Isliye Tha Wo Ke Paara Paara Laasha Tha
Badi Mushkil Se Baba Run Se Uski Laash Laa-E The
7. Pase Ashoor Wo Manzar Raha Mai Kaise Bhoolunga
Meri Nanhi Sakina Ka Gala Rassi Mai Jakda Tha
Nikalti Thi Kaha Awaaz Aqir Bolti Kaise
8. Mubarak Bain Kaisa Tha Ke Baba Ro Pade Haay
Pidar Rote The Apne Laal Ko Seene Se Liptae
Bayaan Irfan Kaise Ho Qayamat Ke Manazir The