Ghar Mere Bhai Ka
- Abbas Ali Mirza (2014)
Qayamat tak Hussain, ibne Ali, ki roshni hogi,
Hussaini dard, hai dil mein, palkon par, namee hogi, Ya Hussain...
Hussain Hussain Hussain
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Kund kanjar talle maajaye ko, marte dekha
Shor uttha seene me Akbar ke, jo tooti hai sinna
Maut ki Hichkiyan Akbar ko main lete, dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Kar diya ghodone pamaal, badan qasim ka
Para para woh badan runn mein bikharte, dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Muh rakh ke khoon bhari huwi chehre pe di sada,
Bhaiya Hussain aaya hai aawaz do zara,
Hai hath doono hath badan se huwe juda
Baazo ke sadke in, tere shaano pe main fida,
Bhaiya humare haath toh bekaar hogaye,
Tum haath kho ke Jafar -e- Tayyar hogaye.
Kat ke Abbas ke baazo jo, girre maktal mein
Maine bhai ko kamar thaam ke rote, dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Boondh ek paani ka main bhai, tujhe dena saki
Tera woh sukha gala saamne katt te, dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Gar rida hoti toh bhaiya main, kaffan pehnati
Chaadar-e-Fatema sar se meri lutt te, dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Khoon bharre kurte mein bachi, teri dafnai gayi
Uski Ghurbat pe main zindaan ko larrazte, dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Kund kanjar talle maajaye ko, marte dekha
Sharm se paani Taqi-Mirza, hai girriya girriya
Pyaase hi margaye sab ne isse behte dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha
Kund kanjar talle maajaye ko, marte dekha
Ghar mere bhai ka jungle mein, ujjadte dekha