Mere Baba
- Abbas Ali Mirza (2014)
Mere baba, Hay baba, Mere baba
Apne seene pe Sakina ko sulaalo Baba
Qaid khane ki aziyat se bacha lo Baba
Mere baba hay baba mere baba
Yaom -e -Ashoor ko, baba tera daaman chootta
Apne daaman mein Sakina ko, chuppa lo baba
Apne seene pe Sakina ko sulaalo Baba
Hai Tammachon ke Nichaan gaalon pe Bachi ke tere,
Paas aakar mujhe goodhi mein uttalo baba
Apne seene pe Sakina ko sulaalo Baba
Mere baba hay baba mere baba
Dekhiye aake mere kaano se hai, khoon jaari
Aag daaman mein Lagi mujhko sambhalo baba,
Apne seene pe Sakina ko sulaalo Baba
Mere baba hay baba mere baba
Shiddat-e-gham mein Sakina na yunhi marjaye
Aake taariqiye zindan se nikhalo baba
Apne seene pe, Sakina ko, sulaalo Baba
Mere baba, hay baba, mere baba
Yeh kalam apna Taqi Khoon-e-jigar se hai likha
Aur Mirza ne diya Humko hai pursa baba,
Unko Qadim-o-Ghulam apna, banlo baba
Apne seene pe Sakina ko sulaalo Baba
Qaid khane ki aziyat se bacha lo Baba
Mere baba hay baba mere baba