Sar Barehna Bhare Darbaar

- Abbas Ali Mirza (2018)


Sar barehna bharre darbaar kadi thi amma
Mujhpe woh kaisi qayamat ki gadi thi amma

Cheenli sar se rida meri sittamgaron ne
Teri Zainab pe musibat yeh badi thi amma

Mere baazu pe layino ne rasan baanda tha
Main woh har ek musibat se laddi thi amma

Maine dekha hai badan bhai ka tukhde tukdhe
Bhai katta raha main darr pe kaddi thi amma

Saari saydaaniya bas ek rasan mein thay bandhe
Aisi Ufkaari yeh kunbe pe paddi thi amma

Tasht mein sar mere maajaye ka mene dekha
Hont par bhai ke zaalim ki chaddi thi amma

Kabar Zehra pe Taqi thi yeh sada zainab ki
Kar rahe hai yeh bayan mirza sada zainab ki
Halq par bhai ke ek kund chori thi amma

Sar barehna bhare darbaar kadi thi amma
Mujhpe woh kaisi qayamat ki gadi thi amma