Mera Bahi Na Raha

- Ali Naqi (2018)


Laashe Abbas pa kehte the Shahe karbobala
Ya rab iska koi armaan bhi pura na hua
Mera bhai na raha x2

Bichra ghurbat me mera arsh e wafa ka qawar
Dasht e zulmat me qafa hai bani hashim ka qamar
Ye jahaan meri nigaho me hai andher hua

Meri raaho me sada isne bichaayi aankhe
Bhul kar bhi mere aage na uthaayi aankhe
Roz o shab roz e azal se meri qidmat me raha

Ye bahata hi raha mere paseene pa lahu
Lamha lamha raha bankar mera zor e bazu
Saaye ki tarah mere saath madine se chala

Koi maidaan ho tha bhai mera meri sipar
Meri samt aankh uthaye koi kiska tha jigar
Ho koi waqt humesha raha paband e wafa

Do jahaan sadmaye abbas sahenge kaise
Sochta hu ke mere baad bachenge kaise
Meri naamoos ka parda meri behno ki rida

Khoon reti pa aqi ka bhala dekhu kaise
Shaane iske mai burida bhala dekhu kaise
Quwat e sbar de kuch aur mujhe mere khuda

Aab lene ko ye aaya tha sakina k liye
Khoo me phir apne nahaya tha sakina k liye
Apni masoom bhatiji pa ye qurbaan hua

Chehra baalo se chupaaye sakina meri
Seliyaa shimr ki khaye sakina meri
De gya daagh e judaai jo muhafiz uska

Shaah dil thaam k kehte the naqi o ehsan
Chaand se mere aqi ko laga sehra me gahan
Zakhm par zakhm khudaya mere dil par hai laga