Zinda Rahey Abbas
- Nadeem Sarwar (2025)
Jan e Sakina Bhi Alamdar Bhi
Chadar e Zainab Ka Negehdar Bhi
Aal e Muhammad Ka Wafadar Bhi
Sabr e Hussaini Bhi Zulfiqar Bhi
Aaisa Na Koi Daikha
Na Hai Na Koi Hoga
Bas Aik Hai Jidaar Alamdar
Zinda Rahe Abbas Alamdar
Har Dam Hai Sadaon Main Alamdar
Zinda Rahe Abbas Alamdar
Hai Sabr e Dasht e Karbala
Jalal e Lashkar e Khuda
Alamdar
Abbas Salamat Rahe Ye Naam Tumhara
Ye Naam Jahan Jis Ne Bhi Jab Jab Hai Pukara
Har Bar Ye Dil Teez Dhadakta Hai Hamara
Ye Naam Hi Aaisa Hai Haider Ke Hi Jaisa Hai
Iss Naam Se Kitna Hai Hame Pyar Alamdar
Kis Shan Se Abbas Alam Tu ne Uthaya
Kya Khoob Alamdari Ka Hai Farz Nibhaya
Phir Aaisa Alamdar Zamane Mai Na Aya
Gunje Ga Sada Nara Abbas Alam Wala
Tareekh Pukare Gi Alamdar
Hai Kon Jo Shabbir Ka Har Dam Hai Wafadar
Awaz Fizaon Se Ye Aati Ba Takrar
Abbas e Alamdar Hai Abbas e Alamdar
Kya Tu Ne Hasham Paya Mola Se Alam Paya
Har Hukm Pe Aaqa Ke Hai Tiyar Alamdar
Kehti Thin Ye Zainab Ke Khuda Iss se Hai Razi
Ye Hai Meri Chadar Ka Muhafiz Mera Ghazi
Iss Ke Liye Ik Khail Hai Ye Jaan Ki Bazi
Ye Jaan Luta De Ga Fojon Ko Hata De Ga
Ban Jaye Ga Khaimon Ki Ye Diwaar Alamdar
Darya Pe Tu Lakhon Hain Khade Zulm Ke Bani
Laikin Esse Mashkize Main Lana Bhi Hai Pani
Ab Jaan Se Badh Kar Hai Sakina Ki Nishani
Dariya Pe To Jana Hai Mashkiza To Bharna Hai
Ab Jo Bhi Ho Daikhe Ga Wafadar Alamdar
Bhulen Ge Na Abbas Tera Nahr Pe Aana
Dariya Pe Alam Gad Ke Nara Ye Lagana
Dariya Ye Hamara Hai Sune Sara Zamana
Kya Kaam Kiya Wallah Abbas Subhanallah
Ye Hai Teri Shadi Teri Sarkaar Alamdar