Ye Zameen Hussain Ki Aasman Hussain Ka
- Salman Ali Zia Raipuri (2023)
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ye zameen hussain ki aasmaan hussain ka
Do jaha ki baat kya kul jaha hussain ka
1- taaqato pe kufr ki hogya hai khandah zan
Teer khaa k halq par bezabaaa hussain ka
2-ambiyaan ka azm bhi saaath chhor de jaha
Us muqaam par hua imtehaan hussain ka
3- Bakshish nijaat ke saath khuld milgai
Hur jo do ghadi hua mehmaan hussain ka
4- Karbala me deen ke paasbaan hussain the
Ab hai deen mustufa paasbaan hussain ka
5-Rehmat ilaaha ka rozo shab nuzool hai
Sajdah gaah khalq hai aastaan hussain ka
6-Rashk khuld bann gya rek zaare karbala
Kat ke is tarah khila gulsitaaan hussain ka
7- Dil ki aarzoo ziya us ghadi bar aaaegi
Dekh lengy ham bhi jab aastaan hussain ka