Bhaiya Abbas
- Ali Shanawar and Ali Jee (2025)
Abbas Abbas Abbas Mere Bhaiya
Bazar Main Zainab Hai
Bhaiya Bhaiya Abbas ..(2)
Mere Bhai Bata du, Kisko Sada
Ab Tere Siwa Abbas
Bhaiya Bhaiya Abbas ..(2)
1. Na Sar Pe Tera Saya, Na Sar Pe Rida Ghazi
Majma Hai Tamashayi, Aati Hai Haya Ghazi
Aa Ghazi Aa, Mere Bhai Aa, Deti Hu Sada Abbas
2. Ghazi Mere Baba Ki, Jis Sheher Mein Thi Shahi
Us Shehr Main Qaidi Hai, Us Sheher Ki Shehzadi
Tere Baad Mera, Kya Haal Hua, Aa Dekh Zara Abbas
3. Main Tere Sahare Par, Pardes Chali Aayi
Kuchh Bhi Na Raha Mera, Jab Tuna Raha Bhai
Bin Tere Safar, Aur Be Chadar, Dil Toot Gaya Abbas
4. Sajjad Na Bhulega, Yun Shaam Sheher Aana
Bazar Nibha Aai, Darbar Hai Ab Jana
Wada Ho Wafa, Bhai Se Mera, Karna Ye Dua Abbas
5. Kehna Mere Bhaiya Se, Sharminda Ye Behna Hai
Sonpa Tha Jise Mujh Ko, Zakhmi Wo Sakina Hai
Masooma Ko, Mazlooma Ko, Zindaan Mila Abbas
Bhaiya Bhaiya Abbas ..(2)
Bazar Main Zainab Hai
Bhaiya Bhaiya Abbas ..(2)
Mere Bhai Bata du, Kisko Sada
Ab Tere Siwa Abbas
Bhaiya Bhaiya Abbas ..(2)
Abbas Abbas Abbas Mere Bhaiya