Hussain Zinda Hai

- Minhal Ali Rizvi (2025)


Hussain Zinda Hai

Ye Sara zamana kahta hai Hussain Zinda h
Hussain Zinda h
Masjid ka musalla kahta hai
Husain Zinda h

Ghazi ka ye parcham h yaaro is parcham ki h shan juda,
Go kitni chali batil ki hawa lekin ye kabhi bhi jhuk na saka
Kate gye kitne hath magar her daur me h ye uthta rha
Parcham ka pharahra kahta hai Hussain Zinda h

Hum khulq hue h iske liye pahchan hamari hai matam
Saman h hamari bakshish ka or shan hamari hai matam
Hai Deen yahi eeman yahi or jaan hamari h matam
Her matami dasta kahta hai Hussain Zinda h

Gar shahe huda na hote to ye deeno shareeyat na hoti
Islam k gulshan men harghiz eeman ki nikhat na hoti
Is deene Ilahi me baqi sarkar ki seerat na hoti
Ye khanaye kaba kahta hai
Husain Zinda h

Her saal ghareeb k chehallum ko jab shah k shaida jate hai
Taqdeer sanwarti h unki or hur sa muqaddar pate hain
Her ashke aza k badle wo jannat men ghar banwate hai,
Labbaik ka nara kahta hai Hussain Zinda h

Tha sham fateh zainab ne kiya ye sham rahega zainab ka
kitne Hakim hi badal jaye per naam rahega zainab ka,
Is shaher ki her ik galiyon me paigham rhega zainab
Zainab ka ye rauza kahta hai
Hussain Zinda h

Ghaibat me Kiya krte hain imam akbar ki jawani ka matam
6 maah k phool se bache ki us tashnadahani ka matam
Zainab k jiyalo ka matam farwa ki nishani ka matam
Qayem ka ye rona kahta hai
Husain Zinda h

Minhal suhail Abid ne diya khutba jo ali k lahje me
Thi gung padi hakim ki zaba'n or aada the khamosh khade
Be sakhta sab ahle shami ek dusre se ye kahne lage
Sajjad ka khutba kahta hai Hussain Zinda h