Haye Alamdar
- Sayyed Ali Muntazir (2024)
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Kahte ye roke harame ahmade mukhtaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Is aalame ghurbat me chhuta saath tumhara
Ye zulm jari tumne Kiya kaise gawara
Dar aaye hain khaime me jari dekho sitamgaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Akbar ne sada di to ye shabbir pukaare
Ab aankho se dikhta nahi baba ko tumhare
Lashkar me nahi koi mera monis o ghamkhaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Qasim bhi nahi hain ali akbar bhi nahi hai
Ghurbat hai ke chehre maah ka Asghar bhi nahi hai
Ab kon bachayega sakina tere rukhsaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Abbas ke laashe pe ye sheh padhte the noha
Is dasht me batlaao bhala kon hai apna
Uth jaao mere bhai meri fauj ke salaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Abbas ki bahno ko rulaate the sitamgar
Allah re khaimo ko jalate the sitamgar
Majboor hai sajjad bhala kya kare beemaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Shabbir se kahti Rahi Zainab yahi rokar
Baad aapke batlaaiye aye mere baradar
Kis tarah se ham jaayenge bhayya sare bazaar
Haaye alamdaar haaye alamdaar
Haider koi dariya pe ye abbas se kah de
Marega layee jab bhi sakina ko tamaache
Dariya se bulayegi bhatiji tumhe har baar
Haaye alamdaar haaye alamdaar