La ilah hussain
- Sayyed Ali Muntazir (2024)
Banaye la-ilah hussain
Nabi ka ladla
Ali ka dilruba
Hasan ka rahnuma
Hamara badshah
1) hussain jiski dars gah bani hai god-e- Fatima,
Chirag-e-bazm e panjetan hasan ka hai ye dilruba,
Sukoon e qalbe murtaza sawar e doshe mustafa,
Hai naaze qibriya hussain
2) nabi ne jiske wastey hussaino minni tha khaha,
Hai ummate rasool ne usi pe dhai hai jafa,
Kiya mutaleba usi se bayyate yazid ka,
Ye kaise manta hussain
3) kada jo waqt agaya nabi ke paak deen ka,
Watan ko kehke alwida chaoa batool ka pisar,
Madine se shuru hua,
Yun sue karbala safar,
Yun Bewatan hua hussain
4) furat par jo khaimazan hua hussain kafela,
Yun ummate rasool ne chukaya ajre mustafa,
Nabi ki paak aal ka hai band aab kardiya,
Yun pyaasa rehgaya hussain
5) zameen pe aya zeen se kata ke baazu bawafa,
Sina ki nazr hogaya jawa'n pisar hussain ka,
Hai hurmala ke teer se chida sagheer ka gala,
Ghareebe nainawa hussain
6) fizae karbala me jab azaan gunji asr ki,
Mila bajaye aab ke wazu ko khoone asghari,
Imam ne ada kiya yun ran me sajda akhiri,
Khuda ki hai eaza hussain
7) tha haalate namaz me khuda se mehwe guftagu,
Churi se shimr ki kata sakhi hussain ka gulu,
Bachali shaahe deen ne yun ambiya ki aarzoo,
Qatile bekhata hussain
9) jawad tujhpe hai sada us hi hussain ki ata,
Aza ka jiski farsh hai jagah jagah bicha hua,
Har aankh ashk baar hai har ek dil hai ghamzada,
Har ek zaban pe hai ya hussain.