Ro Rahy Hai Murtaza
- Sonu Monu (2025)
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar
Roo rahi hai baap ke chehra ko dukhtar dekh kar
Betiyon ke sar pe rakh kar haath rote hain Ali a.s x2
Shaam e ghubat ka tasavvur mei woh manzar dekh kar
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar
Yaad aati hai Sakina ki, Ali bechain hai x2
Zainab o Kulsum ke kaanon mei gohar dekh kar
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar
Choomte hain haath Abbas e jari ke baar baar x2
Mere maula apna takiya khoon mei tar dekh kar
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar
Khaa ke gash girti thin Zainab ghar ke andar khaakh par x2
Khoon ka dhaara ravaan baba ke rukh par dekh kar
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar
Jaane kitne din talak Hasnain rote hii rahe x2
Apne babajaan ka hujre mei bistar dekh kar
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar
Ay Surani Fatema Zahra Ali ke sogh mei x2
Roti hongi jaanib e qabr e Payambar dekh kar
Ro Rahe Hain Murtaza Zainab s.a Ki Chadar Dekh Kar