Bichao farsh E Aza Sayeda Qayamat Hai
- Ali Akbar Ali (2019)
Bichhao farsh e gham e sayyeda qayamat hai
Ali se hoti hain Zehra juda qayamat hai
Kuchh is qadar huye zulm o sitam rasool K baad
Asa ke sath chali'n sayyeda qayamat hai
Hamesha hath ko pehlu pe rakh ke kaam kiya
Kabhi kisi se na kuchh bhi kaha qayamat hai
Gira ke jalta hua sayeda pe darwaza
Suna hai qatil e mohsin hasa qayamat hai
Azeeyaton ke sabab haaye nau jawani me
Nabi Ki beti ko aaei qaza qayamat hai
Ali ne tooti huie pasliyon ko jab dekha
Tadap k cheekh K roye kaha qayamat hai
Jo toote bande kafan ulfat e Shahe dee,n me
Tadap ke ro diye ahle aza qayamat hai
Agar rasool Ki beti Ka gham manana hai
Gharon me kijiye majlis bapa qayamat hai
Khuda hi jaane wo Kaise the kalma go asif
Jinhone sadme pe sadma diya qayamat hai