Tha Ye Abbas Ka Noha
- Anjuman e masoomeen (2020)
Tha Yeh Abbas Ka Noha, Jab Mere Haath Kate.
Thi Tasawwur Me Sakina (×2) Jab Mere Haath Kate,
Tha Yeh Abbas Ka Noha, Jab Mere Haath Kate (×2)
Jis Ghadi Haath Qalam Hogaye Mere Aaqa,
(Maine Mashqeeze Ko Daato Se Sambhaala Maula) ×2
Mashk Ko Teer Ne Cheda (×3) Jab Mere Haath Kate.
Tha Yeh Abbas Ka Noha, Jab Mere Haath Kate (×2)
Zulm Joh Mujh Pe Hue Hain, Woh Sunaoon Kaise,
(Ek Shaki Gurz E Sitam Maarke Sar Par Mere) ×2
Mujhko Ghode Se Giraaya (×3) Jab Mere Haath Kate,
Tha Yeh Abbas Ka Noha, Jab Mere Haath Kate (×2)
Kuch Dikhai Nahi Deta Tha Mujhe Aankhon Se
Zakhmi Karte The Layee'n Lafzoun Ki Talwarou'n Se
Ishqiya Dete The Tana Jab Mere Haath
Dekh Kar Mujh Ko Yeh Kehne Lage Ran Me Agha
Lelo Abbbas-E-Dilawar Se Ali Ka Badla
Sab Ne Milkar Kiya Hamla Jab Mere Haath Kate
Koi Naize Se Koi Bhale Se Mara Mujh Ko
Naam Shehzadiyou'n Ka Leke Rulaya Mujh Ko
Yaad Aaye Mujhe Baba Jab Mere Haath Kate
Beh Gaya Mashk-E-Sakina Se Jo Saara Paani
Mujhko Rulwane Lage Aur Sitam Ke Baani
Maine Dekha Su-E-Khaima Jab Mere Haath Kate
Lashkar-E-Shaam Ka Har Zulm-O-Sitam Seh Seh Ke
Sar Ke Bal Jalti Zameen Par Mai Gira Ghode Se
Naa Mila Mujhko Sahara Jab Mere Haath Kate
Barchiyou'n Se Jo Hui Pyaas Me Zakhmi Seena
Mujhko Shamsheerein Lagate The Musalsal Kate
Mai Bikharta Gaya Maula Jab Mere Haath Kate
Arsh Noha Ki Sada Arsh Talak Jayegi
Gham Zada Hoyenge Jannat Me Bahut Sare
Sun Ke Royenge Yeh Noha Jab Mere Haath Kate