Tumhara Sukriya Bubi (Sa)
- Meesum Abbas (2007)
Sakina gir gayi naqe sey rasty mein kahi
Talash karti thi us ko yahan wahan Zainab
Mili Sakina jo godi mein eik bibi ki
Tarap key bibi sey karney lagi bayan Zainab
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar

Taras khana musibat mein hamari badnasibi par

Ye wo bachi hai jis ney bundh bhar pani nahi paya
Kayi din sey tamachoun key siva kuch bhi nahi khaya
Tum itney piyar sey bethi ho is ko god mein ley kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Kali murjhaney vali thi usey is piyar ki di hai
Samjhti houn keh is bachi ko tum ney zindagi di hai
Na hoti tum to marjati ye shayad naqey sey gir kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Hamari khayriyat bhi poochney aata nahi koi
Yatimi per bhi is ki kuch taras khata nahi koi
Lagaya tum ney seeney sey isey naqey sey girney par
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Safer mein darbadar ki thokarey hi khate aaye hai
Tumhe ham kya batayein kis qader sadmey uthaye hai
Mila hai aaj pehli martaba shafqat ka ye manzar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Abhi tak jo mila us ney issey dura lagaya hai
Tumhari shakl mein pehla koi hamdard aaya hai
Ye hamdardi ka rishta to har ik rishte sey hai bhar kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Tamache shimr ney marey to rooney bhi nahi payi
Bichar kar appney baba sey ye soney bhi nahi payi
Sakoon is ko mila hoga tumhari goud mei aakar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Abhi jaldi utha hai is key sir sey bap ka saya
Ye tum ney ham gharibon par bara ahsan farmaya
Ham is ahsan ka badla chukayeingey bhala kyu(n) kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Musibat mein hai khul kar sans bhi ham ley nahi sakte
Duaoun key ilaawa ham tumhain kuch dey nahi sakte
Dua khali na jaye gi keh ham hai aal-e-Payghambar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Najaney kyu(n) ye lagta hai keh tum ko janti hu(n) mein
Mujhe mehsoos hota hai tumhe pehchanti hu(n) mien
Merey dil ko bari dharas huwi tum sey yahan mil kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar
Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi
Huwa kuch aur bhi gham nak manzar "mesum-o-fakhri"
Naqab-e-rukh ulat kar boli madar "mesum o fakari"
Na tarpawo ay zainub tum apni maa ko ye keh kar