Na Leja Na Leja Zuljanah

- Irfan Haider (2000)


Jo Jata Hain Makhtal Mey, Palatkar Nahi Ata,
Sab Chahane Walo Ko Qaza Agaye Raan Mey,
Main Sahe Nahi Paunge Yatime Ke Sitam Ko,
Ye Aste Wafadar Se Kehti Thi Sakina,
Na Leja Na Leja Zuljanah, Mere Baba Ko Na Leja

Main Sounge Kiske Seene Par-02
Le Jayega Tu Jo Baba Ko
Na Leja Na Leja Zuljanah, Mere Baba Ko Na Leja

Main Tere Sumo Se Lipti Hoon, Faryad Ye Tujhse Karte Hoon
Main Daag-e Yatime Ke Daar Se, Din Raat Tarap kar Roti Hoon
Bich Re Jo Padar Ke Sine Se-(02), Hain Itna Yakeen Mar Jaunge.

Lazim Hain Wafadare Tujh Par, Har Simte Se Ghere Hain Laskar
Be Deen Layeno Ke Baan Me, Aaqa Pe Na Chal Jaye Khanjar
Royege Teri Aaqa Zadi-(02), Key Tujh Ko Gawar Hain Ye Din.

Rokounge Nahi Tera Rasta, Bus Mujh Ko Bata De Tu Itna
Hain Tujh Ko Khabar Aaqa Tera, Karta Hain Pyar Mujhe Kitna
Main Sounge Kiske Seene Par-(02), Le Jayega Tu Jo Baba Ko.

Baba Ke Siwa Ab Koye Nahi, Har Gam Satayenge Layeen
Zalim Se Bachaye Kuon Mujhe, Na Apna Watan Na Apni Zamee
Bin Baap Ki Bachchi Par Zalim-(02), Ab Aur Qayamat Dhayenge.

Main Kaise Jeeunge Tu Hi Bata, Jab Paas Nahi Honge Baba
Kuch Roz Agar Zinda Bhi Rahi, Yaadon Ke Sahare Main Tanha
Ek Zinda Laash Ki Surat Se-(02), Main Jeti Rahunge Ro Ro Kar.

Sooti Thi Sukon Se Ye Dukhtar, Mazlum Hussain Ke Seene Par
Ab Mere Muqaddar Me Hoga, Is Khak-e Bayaba Ka Bistar
Kis Tarha Mujhe Neend Ayenge-(02), Yaad Ayega Baba Ka Seena.

Soon Kar Ye Sakina Se Bola, Wo Aste Shahed-e Karbobala
Mat Ro Aye Meri Aaqa Zadi, Main Kaise Ruku Batla De Zara
Hain Hukm Imamat Chalne Ka-(02), Aur Ek Taraf Nauha Hain Tera.

Chalta Hoo To Furkat Teri Hain, Ruk Ta Hoo To Hukm Zaruri Hain
Ruk Jaoun Teri Khatir Lekin, Chalna Bhi Meri Majburi Hain
Chalte Hain Kaleje Par Khanjar-(02), Sun Sun Ke Tere Gham Ke Nale

Nauha Ye Sakina Ka Sunkar, Youn Goya Hua Roke Sarwar
Thi Usme Yatime Bhi Teri, Bachpan Me Jo Utra Tha Mehjar
Haq Ki Marze Par Hoon Razi-(02), Bekar Hain Ye Kehna Tera.

Khamosh Hui Shah-e Ki Dukhtar, Ye Baat Shah-e Din Ke Sunkar
Irfan Bayan Ab Kaise kare, Ruh Daad Masayeb Ki Mazhar
Uthti Thi Sakina Ke Dil Se-(02), Phir Bhi Ye Sadaye Ro Ro Kar.

Na Leja Na Leja Zuljanah, Mere Baba Ko Na Leja