Darbar Jaa raha hai

- Shahbaz Ali Khan (2024)


Haye Zainab(sa) Haye Darbar...3

Haaye Ali(as) Ki Beti, Darbar Jarahi Hai.... 2

Baalo'n Se Apna Chehra, Zainab(sa) Chupa Rahi Hai

Haaye Ali(as) Ki Beti, Darbar Jarahi Hai....2

1) Qaidi Bana Ke Haaye, Sadaat Ko Phiraya
Binte Ali(as) Pe Ya Rab,Kaisa Hai Waqt Aaya
Patthar Kahi'n Pe Durra, Mazluma Kha Rahi Hai

2) Masnad Nashi'n Hain Zaalim, Sar Samne Rakha Hai
Ek Hath Me Chadhi Hai, Jo Sar Pe Maarta Hai
Kya Kya Ali(as) Ki Beti, Sadme Utha Rahi Hai

3) Qaidi Bani Huwi Hai, Afsos Binte Zahra(sa)
Chadar Bhi Chinn Chuki Hai, Phirti Hai Koocha Koocha
Is Haal Me Bhi Zainab(sa), Khutbe Suna Rahi Hai

4) Na Mehramo Ka Majma, Darbar Me Khada Hai
Parde Ki Paasba'n Hai, Aayi Jo Berida Hai
Ghairat Ka Hai Taqaza, Nazre'n Jhuka Rahi Hai

5) Fizza(sa) Ko Yeh Pata Hai, Kya Shaan Thi Ali(as) Ki
Be Parda Shamiyo,n Me, Beti Hai Aaj Uski
Fizza(sa) Lahu Ke Aansu, Is Dam Baha Rahi Hai

6) Abbas(as) Tum The Zamin, Mazluma Ki Rida Ke
Kis Haal Me Bahen Hai, Dekho Zara Yeh Aake
Chadar Kahi'n Se Laa Do, Zainab(sa) Bula Rahi Hai

7) Bhai Teri Shahadat, Yu Raayega Na Hogi
Deene Khuda Ki Khatir, Har Zulm Me Sahungi
Bhai Se Jo Kiya Tha, Waada Nibha Rahi Hai

8) Shahbaz Kaise Danish, Manzar Baya'n Karega
Beti Ali(as) Ki Aayi, Darbar Saj Raha Tha
Zainab(sa) Ki Har Qadam Par, Ab Jaan Jarahi Hai.

Haaye Ali(as) Ki Beti, Darbar Jarahi Hai....2