Hussain Jaan

- Minhal Ali Rizvi (2024)


Husaain jan husain jaan

Ye dilo jaa'n tujhpe feda husain husain jaan 
Hoga yunhi zikr tera Husain Husain jaan 

Bhulegi duniya na kbhi tera gham husain,
Teri musibat pe yuhi royenge ye nain
Tujhpe sitam jo hain hue Fatima k chain,
Yaad rakhega ye jaha'n shaahe mashraqain,
Jari rhegi ye wafa husain husain jaan 
Ruk na sakegi ye aza husain husain jaan 

Dil me basa sabke hai armane karbala
Sino me her ik k hai aiwane karbala
Itna karam humpe ho ae jaane karbala
Dekh le hum log bhi ab shane karbala
Humpe bhi ho itni ata Husain Husain jaan
Ishq ka kuch paye Sela Husain Husain jaan 

Is dile gamkhwar ki hai arzu maula
Arbaee me ab k baras naam ho mera
Tay ho safar pa peyada karbobala ka,
Or mere lab pe ho faqat Haye husaina
Puri meri ho ye dua husain husain jaan 
Ae shahe eesaro wafa husain husain jaan 

Apke sadqe me Sela hum bhi ye payen
Deen ki raaaho me lahu apna bahayen
Shere jari ki tarah bazu ko katayen
Akbare Mahroo ki tarah bachiya khayen
Hausla qasim sa liye husain husain jaan 
Walwala Asghar sa mile husain husain jaan 

Zehnn se hatti nii karbal ki kahani
Haye tere bache ki wo tashnadahani 
Kaise bhulaye ali akbar ki jawani 
Lashe jari pe teri wo ashkfeshani
rahem jaha'n ne na kiya husain husain jaan
Krte rhe zulmo jafa husain husain jaan 

Kaise raqam ho bhala soohail wo manzar 
Jabke rage shaah pe tha shimr ka khanjar 
deti thi Minhal sada roke ye Khwahar
Kaise bachau mai tumhe mere  baradar
Kaisi ye badli hai feza Husain Husain jaan 
Koi nii sunta sada husain husain jaan